main khushboo ki tarah ghul kar fazaaon mein bikhar jaati | मैं ख़ुशबू की तरह घुल कर फ़ज़ाओं में बिखर जाती - Aradhya

main khushboo ki tarah ghul kar fazaaon mein bikhar jaati
hawaaein haq mein hoti to dil-o-jaan mein utar jaati

main ne khud ko kitaabon ke sahaare hi bachaaya hai
wagarana teri yaadon mein to jaane kab ki mar jaati

main kaise maan luun ye tu bhi mujh ko yaad karta hai
agar hota ye sach to hichkiyon se main na mar jaati

agar jaate hue ik baar peeche dekh leta tu
usi pal mein ana ke aashiyaane se utar jaati

tere kooche ke kis chehre se meri aashnaai thi
tera dar chhod ke jaati bhi to aakhir kidhar jaati

kinaare par duboya hai hamein duniya ki parwaah ne
hamaari kashti to varna bhanwar mein bhi ubhar jaati

ye duniya aadam-o-hawwa ki khaatir qaidkhaana thi
sanwar bhi jaati to aakhir kahaan tak ye sanwar jaati

मैं ख़ुशबू की तरह घुल कर फ़ज़ाओं में बिखर जाती
हवाएँ हक़ में होती तो दिल-ओ-जाँ में उतर जाती

मैं ने ख़ुद को किताबों के सहारे ही बचाया है
वगरना तेरी यादों में तो जाने कब की मर जाती

मैं कैसे मान लूँ ये तू भी मुझ को याद करता है
अगर होता ये सच तो हिचकियों से मैं न मर जाती

अगर जाते हुए इक बार पीछे देख लेता तू
उसी पल में अना के आशियाने से उतर जाती

तेरे कूचे के किस चेहरे से मेरी आशनाई थी
तेरा दर छोड़ के जाती भी तो आख़िर किधर जाती

किनारे पर डुबोया है हमें दुनिया की परवाह ने
हमारी कश्ती तो वरना भँवर में भी उभर जाती

ये दुनिया आदम-ओ-हव्वा की ख़ातिर क़ैदख़ाना थी
सँवर भी जाती तो आख़िर कहाँ तक ये सँवर जाती

- Aradhya
0 Likes

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aradhya

As you were reading Shayari by Aradhya

Similar Writers

our suggestion based on Aradhya

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari