nadi ke jor ko sahti rahi hoon
kinaara ho ke bhi pyaasi rahi hoon
nahin guzri in aankhon se jo soorat
usi soorat ki deewani rahi hoon
jo mujh ko aankh bhar ke dekhta tha
usi ki aankhon se bahti rahi hoon
kisi se maa ke jaise hi nibhaaya
kisi ki umr bhar bacchi rahi hoon
hamesha saath doonga kehne waale
teri hi justajoo karti rahi hoon
bujhe chehre ko thapki se sula kar
andhere ke nayan ginti rahi hoon
salaakhon ke sahaare sar tika kar
guzarte waqt ko takti rahi hoon
नदी के जौर को सहती रही हूँ
किनारा हो के भी प्यासी रही हूँ
नहीं गुज़री इन आँखों से जो सूरत
उसी सूरत की दीवानी रही हूँ
जो मुझ को आँख भर के देखता था
उसी की आँखों से बहती रही हूँ
किसी से माँ के जैसे ही निभाया
किसी की उम्र भर बच्ची रही हूँ
हमेशा साथ दूँगा कहने वाले
तेरी ही जुस्तजू करती रही हूँ
बुझे चेहरे को थपकी से सुला कर
अँधेरे के नयन गिनती रही हूँ
सलाख़ों के सहारे सर टिका कर
गुज़रते वक़्त को तकती रही हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aradhya
our suggestion based on Aradhya
As you were reading Nigaah Shayari Shayari