talab ki aag kisi shola-roo se raushan hai
khayal ho ki nazar aarzoo se raushan hai
janam janam ke andheron ko de raha hai shikast
vo ik charaagh ki apne lahu se raushan hai
kahi hujoom-e-hawaadis mein kho ke rah jaata
jamaal-e-yaar meri justuju se raushan hai
ye taabish-e-lab-e-laaleen ye shola-e-aawaaz
tamaam bazm tiri guftugoo se raushan hai
visaal-e-yaar to mumkin nahin magar naaseh
rukh-e-hayaat isee aarzoo se raushan hai
तलब की आग किसी शोला-रू से रौशन है
ख़याल हो कि नज़र आरज़ू से रौशन है
जनम जनम के अंधेरों को दे रहा है शिकस्त
वो इक चराग़ कि अपने लहू से रौशन है
कहीं हुजूम-ए-हवादिस में खो के रह जाता
जमाल-ए-यार मिरी जुस्तुजू से रौशन है
ये ताबिश-ए-लब-ए-लालीं ये शोला-ए-आवाज़
तमाम बज़्म तिरी गुफ़्तुगू से रौशन है
विसाल-ए-यार तो मुमकिन नहीं मगर नासेह
रुख़-ए-हयात इसी आरज़ू से रौशन है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qabil Ajmeri
our suggestion based on Qabil Ajmeri
As you were reading Shama Shayari Shayari