ki khata par baja kiya main ne | की ख़ता पर बजा किया मैं ने

  - Qadeer Ayaz

ki khata par baja kiya main ne
tujh ko jalwa-numa kiya main ne

khud ko aise fana kiya main ne
farz apna ada kiya main ne

meri deewaangi bhi den tiri
kab kisi se gila kiya main ne

baant di jaayedaad bacchon mein
sochta hoon ye kya kiya main ne

raah kaanton bhari thi manzil ki
azm se raasta kiya main ne

ek tu jo bhulaaye baitha hai
yaad tujh ko sada kiya main ne

meri duniya ujaad di us ne
baagh jis ka haraa kiya main ne

tu ne jis haal mein rakha mujh ko
shukr tera ada kiya main ne

kaise hoga bura ayaaz mera
kab kisi ka bura kiya main ne

की ख़ता पर बजा किया मैं ने
तुझ को जल्वा-नुमा किया मैं ने

ख़ुद को ऐसे फ़ना किया मैं ने
फ़र्ज़ अपना अदा किया मैं ने

मेरी दीवानगी भी देन तिरी
कब किसी से गिला किया मैं ने

बाँट दी जाएदाद बच्चों में
सोचता हूँ ये क्या किया मैं ने

राह काँटों भरी थी मंज़िल की
अज़्म से रास्ता किया मैं ने

एक तू जो भुलाए बैठा है
याद तुझ को सदा किया मैं ने

मेरी दुनिया उजाड़ दी उस ने
बाग़ जिस का हरा किया मैं ने

तू ने जिस हाल में रखा मुझ को
शुक्र तेरा अदा किया मैं ने

कैसे होगा बुरा 'अयाज़' मिरा
कब किसी का बुरा किया मैं ने

  - Qadeer Ayaz

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadeer Ayaz

As you were reading Shayari by Qadeer Ayaz

Similar Writers

our suggestion based on Qadeer Ayaz

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari