gumnaam kya karoge chalo ham hi kho gaye | गुमनाम क्या करोगे चलो हम ही खो गए

  - Qadeer Ayaz

gumnaam kya karoge chalo ham hi kho gaye
odhe kafan wafa ka sukoon pa ke so gaye

sannaata hota aaya hai jin ki sadaaon par
khaamosh karne waale hi khaamosh ho gaye

nazrein talash karti hain mehfil mein ab unhen
mehfil ko sooni chhod ke mehfil se jo gaye

walid jo laut aaye to khaane ko laayenge
bacche is intizaar mein bhooke hi so gaye

kaise kahoon ayaaz ghazal kis tarah kahi
har lafz apne khoon mein ham to dubo gaye

गुमनाम क्या करोगे चलो हम ही खो गए
ओढ़े कफ़न वफ़ा का सुकूँ पा के सो गए

सन्नाटा होता आया है जिन की सदाओं पर
ख़ामोश करने वाले ही ख़ामोश हो गए

नज़रें तलाश करती हैं महफ़िल में अब उन्हें
महफ़िल को सूनी छोड़ के महफ़िल से जो गए

वालिद जो लौट आए तो खाने को लाएँगे
बच्चे इस इंतिज़ार में भूके ही सो गए

कैसे कहूँ 'अयाज़' ग़ज़ल किस तरह कही
हर लफ़्ज़ अपने ख़ून में हम तो डुबो गए

  - Qadeer Ayaz

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadeer Ayaz

As you were reading Shayari by Qadeer Ayaz

Similar Writers

our suggestion based on Qadeer Ayaz

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari