aankh un ki nahin dareecha hai | आँख उन की नहीं दरीचा है

  - Qadeer Ayaz

aankh un ki nahin dareecha hai
is dariche mein khud ko dekha hai

dil pe nashtar chala ke poochte hain
haal-e-dil ab janab kaisa hai

bhooka sab ko uthaata vo lekin
bhooka hargiz nahin sulaata hai

dost hi tazkira nahin karte
dushmanon mein bhi mera charcha hai

vo ghareebon ko daan kya karta
dharm eimaan jis ka paisa hai

meri fitrat se vo juda nikla
yun to kehne ko mera beta hai

mehnga ab to yahan hai paani tak
khoon-e-insaan bada hi sasta hai

tu ne jis ko samajh liya apna
teri nazaron ka sirf dhoka hai

bistar-e-marg par hai baap magar
beta sasuraal ja ke baitha hai

vo bada dil-jala hi hoga ayaaz
joota bush par jo us ne fenka hai

आँख उन की नहीं दरीचा है
इस दरीचे में ख़ुद को देखा है

दिल पे नश्तर चला के पूछते हैं
हाल-ए-दिल अब जनाब कैसा है

भूका सब को उठाता वो लेकिन
भूका हरगिज़ नहीं सुलाता है

दोस्त ही तज़्किरा नहीं करते
दुश्मनों में भी मेरा चर्चा है

वो ग़रीबों को दान क्या करता
धर्म ईमान जिस का पैसा है

मेरी फ़ितरत से वो जुदा निकला
यूँ तो कहने को मेरा बेटा है

महँगा अब तो यहाँ है पानी तक
ख़ून-ए-इंसाँ बड़ा ही सस्ता है

तू ने जिस को समझ लिया अपना
तेरी नज़रों का सिर्फ़ धोका है

बिस्तर-ए-मर्ग पर है बाप मगर
बेटा ससुराल जा के बैठा है

वो बड़ा दिल-जला ही होगा 'अयाज़'
जूता बुश पर जो उस ने फेंका है

  - Qadeer Ayaz

Father Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadeer Ayaz

As you were reading Shayari by Qadeer Ayaz

Similar Writers

our suggestion based on Qadeer Ayaz

Similar Moods

As you were reading Father Shayari Shayari