chhodein ana ko ham to tiri justuju karein
padhni hai gar namaaz to pehle wuzoo karein
karne ko dil ki baat karein sab se ham magar
vo dil kahaan se laayein tire roo-b-roo karein
milne ka lutf jab hai ki vo hon humeen mein gum
karne ko ham talash unhen koo-b-koo karein
kyun us jafaa-shi'aar se chheden wafa ki baat
kyun zikr tishnagi ka lab-e-aabjoo karein
aison se hoshyaar rahein qadir aap bhi
jo tum banaayein aap ko aur tum ko tu karein
छोड़ें अना को हम तो तिरी जुस्तुजू करें
पढ़नी है गर नमाज़ तो पहले वुज़ू करें
करने को दिल की बात करें सब से हम मगर
वो दिल कहाँ से लाएँ तिरे रू-ब-रू करें
मिलने का लुत्फ़ जब है कि वो हों हमीं में गुम
करने को हम तलाश उन्हें कू-ब-कू करें
क्यों उस जफ़ा-शिआ'र से छेड़ें वफ़ा की बात
क्यों ज़िक्र तिश्नगी का लब-ए-आबजू करें
ऐसों से होश्यार रहें 'क़ादिर' आप भी
जो तुम बनाएँ आप को और तुम को तू करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi
our suggestion based on Qadir Siddiqi
As you were reading Justaju Shayari Shayari