apni mohabbaton ka ye achha sila mila | अपनी मोहब्बतों का ये अच्छा सिला मिला

  - Qadir Siddiqi

apni mohabbaton ka ye achha sila mila
jo bhi mila mujhe vo mujhi se khafa mila

tujh se bichhad ke bhi main na tujh se bichhad saka
jis raah par gaya main tira naqsh-e-paa mila

ahl-e-karam ki bheed se guzri hai zindagi
tujh sa magar koi na karam-aashnaa mila

duniya jafaa-shi'aar rahi hai ye sach sahi
ai rah-navard raah-e-wafa tujh ko kya mila

is ko quyood-e-aql ne deewaana kar diya
baahar mila mujhe to vo achcha-bhala mila

khushiyaan miliin to aankh jhapakne ki der tak
gham jo mila mujhe vo bahut der-paa mila

is mukhtasar hayaat mein kis kis ko roiyie
har marhala hayaat ka sabr-aazma mila

na-deeda ik kashish hai nahin jis ka koi naam
dil se nigaah tak ik ajab silsila mila

be-e'tinaaiyon se mili taab-e-zabt-e-gham
teri nawaazishon se mujhe hausla mila

tera karam hai teri inaayat hai ai junoon
main jis ko dhoondhta tha mujhi mein chhupa mila

qadir bahut nihaal hai apni shikast par
baazi lagaaee dil ki to us ka maza mila

अपनी मोहब्बतों का ये अच्छा सिला मिला
जो भी मिला मुझे वो मुझी से ख़फ़ा मिला

तुझ से बिछड़ के भी मैं न तुझ से बिछड़ सका
जिस राह पर गया मैं तिरा नक़्श-ए-पा मिला

अहल-ए-करम की भीड़ से गुज़री है ज़िंदगी
तुझ सा मगर कोई न करम-आश्ना मिला

दुनिया जफ़ा-शिआ'र रही है ये सच सही
ऐ रह-नवर्द राह-ए-वफ़ा तुझ को क्या मिला

इस को क़ुयूद-ए-अक़्ल ने दीवाना कर दिया
बाहर मिला मुझे तो वो अच्छा-भला मिला

ख़ुशियाँ मिलीं तो आँख झपकने की देर तक
ग़म जो मिला मुझे वो बहुत देर-पा मिला

इस मुख़्तसर हयात में किस किस को रोइए
हर मरहला हयात का सब्र-आज़मा मिला

नादीदा इक कशिश है नहीं जिस का कोई नाम
दिल से निगाह तक इक अजब सिलसिला मिला

बे-ए'तिनाइयों से मिली ताब-ए-ज़ब्त-ए-ग़म
तेरी नवाज़िशों से मुझे हौसला मिला

तेरा करम है तेरी इनायत है ऐ जुनूँ
मैं जिस को ढूँढता था मुझी में छुपा मिला

'क़ादिर' बहुत निहाल है अपनी शिकस्त पर
बाज़ी लगाई दिल की तो उस का मज़ा मिला

  - Qadir Siddiqi

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadir Siddiqi

As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qadir Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari