pyaar ka aaj chalan dosto dushwaar hai kyun | प्यार का आज चलन दोस्तो दुश्वार है क्यों

  - Qadir Siddiqi

pyaar ka aaj chalan dosto dushwaar hai kyun
aaj insaan khud insaan se bezaar hai kyun

aaj ke daur ne ye kaun si karvat li hai
aaj ke daur mein maasoom gunahgaar hai kyun

be-gunaahon ka lahu shehar mein arzaan hi sahi
aasmaan par bhi wahi rang numoodaar hai kyun

main to mar jaane ko taiyyaar hoon dushman ke liye
mera dushman bhi magar marne ko taiyyaar hai kyun

kya tire kooche hi ki den tarhdaari hai
tere kooche se jo guzra vo tarh-daar hai kyun

pehle barson mein bhi sunne ko na milta tha ye naam
aaj honton pe har ik ke rasn-o-daar hai kyun

kya ham is daur ko shubahaat ka ik daur kahein
shak mein dooba hua har shakhs ka kirdaar hai kyun

kyun khuloos aur sadaqat se nahin kuchh haasil
makr hi makr zamaane ko saza-waar hai kyun

tere maykhaane ke faizaan-o-karam sab tasleem
tere maykhaane ka har jaam nigoon-saar hai kyun

kal tak us shokh ki yaadon pe tha jeene ka madaar
aaj us shokh ki har yaad giran-baar hai kyun

gosha-e-dil mein bhi but-khaane hua karte hain
qadir is baat se ab aap ko inkaar hai kyun

प्यार का आज चलन दोस्तो दुश्वार है क्यों
आज इंसान ख़ुद इंसान से बेज़ार है क्यों

आज के दौर ने ये कौन सी करवट ली है
आज के दौर में मासूम गुनहगार है क्यों

बे-गुनाहों का लहू शहर में अर्ज़ां ही सही
आसमाँ पर भी वही रंग नुमूदार है क्यों

मैं तो मर जाने को तय्यार हूँ दुश्मन के लिए
मेरा दुश्मन भी मगर मरने को तय्यार है क्यों

क्या तिरे कूचे ही की देन तरहदारी है
तेरे कूचे से जो गुज़रा वो तरह-दार है क्यों

पहले बरसों में भी सुनने को न मिलता था ये नाम
आज होंटों पे हर इक के रसन-ओ-दार है क्यों

क्या हम इस दौर को शुबहात का इक दौर कहें
शक में डूबा हुआ हर शख़्स का किरदार है क्यों

क्यों ख़ुलूस और सदाक़त से नहीं कुछ हासिल
मक्र ही मक्र ज़माने को सज़ा-वार है क्यों

तेरे मयख़ाने के फ़ैज़ान-ओ-करम सब तस्लीम
तेरे मयख़ाने का हर जाम निगूँ-सार है क्यों

कल तक उस शोख़ की यादों पे था जीने का मदार
आज उस शोख़ की हर याद गिराँ-बार है क्यों

गोशा-ए-दिल में भी बुत-ख़ाने हुआ करते हैं
'क़ादिर' इस बात से अब आप को इंकार है क्यों

  - Qadir Siddiqi

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadir Siddiqi

As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qadir Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari