socho to qayamat hai chhalaava hai bala hai
dekho to faqat raah mein naqsh-e-kaf-e-paa hai
maana ki tire haq se tujhe kam hi mila hai
ye bhi kabhi socha hai ki kya tu ne diya hai
main qaafila-e-waqt ke hamraah chaloon kya
jo shakhs hai peeche ki taraf dekh raha hai
auron ke taqaabul mein sada past raha hoon
ye bhi meri naa-karda-gunahi ki saza hai
ab apne hi maazi pe yaqeen aa nahin paata
lagta hai ye qissa bhi kabhi main ne suna hai
duniya ko jo chhodaa tha to kuchh aur tha aalam
duniya ko jo chaaha to ajab haal hua hai
is daur ko kya saii-e-hidaayat ki zaroorat
jis daur ka jo shakhs hai farzaana bana hai
ye bhi meri qismat ki uljh baitha main in mein
kuchh aise amal jin ki saza hai na jazaa hai
us gham ko bhala kyun na main seene se lagaaun
vo gham jo mere dost tira husn-e-ataa hai
mumkin ho to mil jaao kisi haal mein ik baar
ab waqt ka suraj hai ki jo doob raha hai
qadir ko shikaayat nahin ghairoon ki ravish se
qadir ko to apnon hi ne mayus kiya hai
सोचो तो क़यामत है छलावा है बला है
देखो तो फ़क़त राह में नक़्श-ए-कफ़-ए-पा है
माना कि तिरे हक़ से तुझे कम ही मिला है
ये भी कभी सोचा है कि क्या तू ने दिया है
मैं क़ाफ़िला-ए-वक़्त के हमराह चलूँ क्या
जो शख़्स है पीछे की तरफ़ देख रहा है
औरों के तक़ाबुल में सदा पस्त रहा हूँ
ये भी मिरी ना-कर्दा-गुनाही की सज़ा है
अब अपने ही माज़ी पे यक़ीं आ नहीं पाता
लगता है ये क़िस्सा भी कभी मैं ने सुना है
दुनिया को जो छोड़ा था तो कुछ और था आलम
दुनिया को जो चाहा तो अजब हाल हुआ है
इस दौर को क्या सई-ए-हिदायत की ज़रूरत
जिस दौर का जो शख़्स है फ़रज़ाना बना है
ये भी मिरी क़िस्मत कि उलझ बैठा मैं इन में
कुछ ऐसे अमल जिन की सज़ा है न जज़ा है
उस ग़म को भला क्यों न मैं सीने से लगाऊँ
वो ग़म जो मिरे दोस्त तिरा हुस्न-ए-अता है
मुमकिन हो तो मिल जाओ किसी हाल में इक बार
अब वक़्त का सूरज है कि जो डूब रहा है
'क़ादिर' को शिकायत नहीं ग़ैरों की रविश से
'क़ादिर' को तो अपनों ही ने मायूस किया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi
our suggestion based on Qadir Siddiqi
As you were reading Friendship Shayari Shayari