tera firaq arsa-e-mahshar laga mujhe
jab bhi khayal aaya bada dar laga mujhe
jab bhi kiya iraada-e-tark-e-ta'alluqaat
kya jaane kyun vo shokh haseen-tar laga mujhe
parkha to zulmato_n ke siva aur kuchh na tha
dekha to ek noor ka paikar laga mujhe
khud apni zaat par bhi na rah jaaye e'tibaar
ai waqt ho sake to vo nashtar laga mujhe
kya jaane kis jahaan mein baste hain narm-dil
main ne jise chhua wahi patthar laga mujhe
ik martaba zaroor nazar phir se uth gai
jo qad bhi tere qad ke barabar laga mujhe
qismat isee ko kahte hain phoolon ki sej par
leta jo main to kaanton ka bistar laga mujhe
us phool ka kaleja mila gham se paash paash
jo phool dekhne mein gul-e-tar laga mujhe
dil hans ke jhel jaaye ye baat aur hai magar
charka tiri nigaah ka akshar laga mujhe
duniya ka ye nizaam ye me'aar-e-seem-o-zar
kamtar laga mujhe kabhi bad-tar laga mujhe
un ki gali ki baat hi qadir ajeeb hai
har shakhs she'r-faham-o-sukhanvar laga mujhe
तेरा फ़िराक़ अर्सा-ए-महशर लगा मुझे
जब भी ख़याल आया बड़ा डर लगा मुझे
जब भी किया इरादा-ए-तर्क-ए-तअल्लुक़ात
क्या जाने क्यों वो शोख़ हसीं-तर लगा मुझे
परखा तो ज़ुल्मतों के सिवा और कुछ न था
देखा तो एक नूर का पैकर लगा मुझे
ख़ुद अपनी ज़ात पर भी न रह जाए ए'तिबार
ऐ वक़्त हो सके तो वो नश्तर लगा मुझे
क्या जाने किस जहान में बस्ते हैं नर्म-दिल
मैं ने जिसे छुआ वही पत्थर लगा मुझे
इक मर्तबा ज़रूर नज़र फिर से उठ गई
जो क़द भी तेरे क़द के बराबर लगा मुझे
क़िस्मत इसी को कहते हैं फूलों की सेज पर
लेटा जो मैं तो काँटों का बिस्तर लगा मुझे
उस फूल का कलेजा मिला ग़म से पाश पाश
जो फूल देखने में गुल-ए-तर लगा मुझे
दिल हँस के झेल जाए ये बात और है मगर
चरका तिरी निगाह का अक्सर लगा मुझे
दुनिया का ये निज़ाम ये मेआ'र-ए-सीम-ओ-ज़र
कमतर लगा मुझे कभी बद-तर लगा मुझे
उन की गली की बात ही 'क़ादिर' अजीब है
हर शख़्स शे'र-फ़हम-ओ-सुख़नवर लगा मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi
our suggestion based on Qadir Siddiqi
As you were reading Kismat Shayari Shayari