waaye qismat ki qareeb us ne na aana chaaha | वाए क़िस्मत कि क़रीब उस ने न आना चाहा

  - Qadir Siddiqi

waaye qismat ki qareeb us ne na aana chaaha
umr bhar ham ne jise apna banaana chaaha

kya kahein us ko gham-e-duniya ne kitna ghera
ham ne jis dil ko tire gham se sajaana chaaha

kar diya aur bhi madhosh zamaane ne use
tere deewane ne jab hosh mein aana chaaha

ho gai aur siva lazzat-e-gham ki taaseer
jab kabhi ham ne tire gham ko bhulaana chaaha

waqt ke sholoon se mahfooz bhala kya rahte
yun to daaman ko bahut ham ne bachaana chaaha

teri yaadon ke diye jalte rahe jalte rahe
aandhiyon ne to kai baar bujhaana chaaha

bas isee jurm pe naaraz hain duniya waale
apne khwaabon ka mahal ham ne banaana chaaha

jo utha us ko girane ki to sochi sab ne
jo gira us ko na duniya ne uthaana chaaha

qasr-o-aivaan ka girana to koi baat na thi
kaa'ba-e-dil ko bhi kuchh logon ne dhaana chaaha

jab bhi socha ki haqeeqat na chhupaayein qadir
ham se duniya ne naya koi bahaana chaaha

वाए क़िस्मत कि क़रीब उस ने न आना चाहा
उम्र भर हम ने जिसे अपना बनाना चाहा

क्या कहें उस को ग़म-ए-दुनिया ने कितना घेरा
हम ने जिस दिल को तिरे ग़म से सजाना चाहा

कर दिया और भी मदहोश ज़माने ने उसे
तेरे दीवाने ने जब होश में आना चाहा

हो गई और सिवा लज़्ज़त-ए-ग़म की तासीर
जब कभी हम ने तिरे ग़म को भुलाना चाहा

वक़्त के शो'लों से महफ़ूज़ भला क्या रहते
यूँ तो दामन को बहुत हम ने बचाना चाहा

तेरी यादों के दिए जलते रहे जलते रहे
आंधियों ने तो कई बार बुझाना चाहा

बस इसी जुर्म पे नाराज़ हैं दुनिया वाले
अपने ख़्वाबों का महल हम ने बनाना चाहा

जो उठा उस को गिराने की तो सोची सब ने
जो गिरा उस को न दुनिया ने उठाना चाहा

क़स्र-ओ-ऐवाँ का गिराना तो कोई बात न थी
का'बा-ए-दिल को भी कुछ लोगों ने ढाना चाहा

जब भी सोचा कि हक़ीक़त न छुपाएँ 'क़ादिर'
हम से दुनिया ने नया कोई बहाना चाहा

  - Qadir Siddiqi

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadir Siddiqi

As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qadir Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari