haaye re ahad-e-guzishta ki karam-farmaiyaan | हाए रे अहद-ए-गुज़िश्ता की करम-फ़रमाइयाँ

  - Qadir Siddiqi

haaye re ahad-e-guzishta ki karam-farmaiyaan
anjuman-dar-anjuman tanhaaiyaan tanhaaiyaan

ishq ko haasil hain un ki bhi karam-farmaiyaan
umr bhar karte rahe hain jo sitam-aaraaiyaan

mil ke dono ne mujhe ruswa-e-duniya kar diya
kuchh meri naadaaniyaan theen kuchh tiri danaaiyan

lafz-o-ma'ni mein uljh kar rah gaye ahbaab sab
kaash koi dekh saka qalb ki gehraaiyaan

ab khuloos-e-dil ki baatein khwaab ho kar rah gaeein
jis taraf dekho faqat parchaaiyaan parchaaiyaan

koi hansta to nahin aansu bahaane par mere
baa'is-e-taskin-e-khaatir hain mujhe tanhaaiyaan

dekhiye ye bhi ki dil ka khoon hota to nahin
wajh-e-raunaq hi sahi ye anjuman-aaraaiyaan

meri nazaron ne unhen kuchh gudgudaaya is tarah
karvatein lene lagin soi hui angadaaiyaan

ahl-e-duniya se shikaayat kya gila kya ranj kya
mujh ko le doobiin mere ehsaas ki gehraaiyaan

dard-e-dil jab tak na shaamil ho to qadir she'r kya
zindagi bhar karte rahiye qaafiya-paimaiyaan

हाए रे अहद-ए-गुज़िश्ता की करम-फ़रमाइयाँ
अंजुमन-दर-अंजुमन तन्हाइयाँ तन्हाइयाँ

इश्क़ को हासिल हैं उन की भी करम-फ़रमाइयाँ
उम्र भर करते रहे हैं जो सितम-आराईयाँ

मिल के दोनों ने मुझे रुस्वा-ए-दुनिया कर दिया
कुछ मेरी नादानियाँ थीं कुछ तिरी दानाइयाँ

लफ़्ज़-ओ-मा'नी में उलझ कर रह गए अहबाब सब
काश कोई देख सकता क़ल्ब की गहराइयाँ

अब ख़ुलूस-ए-दिल की बातें ख़्वाब हो कर रह गईं
जिस तरफ़ देखो फ़क़त परछाइयाँ परछाइयाँ

कोई हँसता तो नहीं आँसू बहाने पर मिरे
बाइ'स-ए-तस्कीन-ए-ख़ातिर हैं मुझे तन्हाइयाँ

देखिए ये भी कि दिल का ख़ून होता तो नहीं
वज्ह-ए-रौनक़ ही सही ये अंजुमन-आराइयाँ

मेरी नज़रों ने उन्हें कुछ गुदगुदाया इस तरह
करवटें लेने लगीं सोई हुई अंगड़ाइयाँ

अहल-ए-दुनिया से शिकायत क्या गिला क्या रंज क्या
मुझ को ले डूबीं मिरे एहसास की गहराइयाँ

दर्द-ए-दिल जब तक न शामिल हो तो 'क़ादिर' शे'र क्या
ज़िंदगी भर करते रहिए क़ाफ़िया-पैमाइयाँ

  - Qadir Siddiqi

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadir Siddiqi

As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qadir Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari