gham-e-gunaah se fikr-najaat se uljhe
tamaam umr ham afsoon-e-zaat se uljhe
tavahhumaat se ik jang thi jo jaari rahi
sahaab-e-marg na abr-e-hayaat se uljhe
nafs nafs pe nigaahen tiri badalti raheen
qadam qadam pe naye haadsaat se uljhe
tujhe jo maan liya ham ne bas vo maan liya
zabaan sifat pe na khuli na zaat se uljhe
kabhi khird se nipatna pada kabhi dil se
taghayyuraat se uljhe sabaat se uljhe
bahut sataaya guzishta dinon ki yaadon ne
yahi nahin ki naye waqi'at se uljhe
tazaad laakh raha phir bhi zindagi ke liye
gham-e-ana se gham-e-kaayenaat se uljhe
ham is zamaane mein kis ko sunaayein kaun sune
dil-o-nigaah ki jin waardaat se uljhe
bisaat-e-zeest sajaai tiri khushi ke liye
na jeet se kabhi uljhe na maat se uljhe
humeen ne teri nigaah-e-ghazab ko jhela hai
humeen tiri nigah-e-iltifaat se uljhe
ग़म-ए-गुनाह से फ़िक्र-नजात से उलझे
तमाम उम्र हम अफ़्सून-ए-ज़ात से उलझे
तवहहुमात से इक जंग थी जो जारी रही
सहाब-ए-मर्ग न अब्र-ए-हयात से उलझे
नफ़स नफ़स पे निगाहें तिरी बदलती रहीं
क़दम क़दम पे नए हादसात से उलझे
तुझे जो मान लिया हम ने बस वो मान लिया
ज़बाँ सिफ़त पे न खोली न ज़ात से उलझे
कभी ख़िरद से निपटना पड़ा कभी दिल से
तग़य्युरात से उलझे सबात से उलझे
बहुत सताया गुज़िश्ता दिनों की यादों ने
यही नहीं कि नए वाक़िआ'त से उलझे
तज़ाद लाख रहा फिर भी ज़िंदगी के लिए
ग़म-ए-अना से ग़म-ए-काएनात से उलझे
हम इस ज़माने में किस को सुनाएँ कौन सुने
दिल-ओ-निगाह की जिन वारदात से उलझे
बिसात-ए-ज़ीस्त सजाई तिरी ख़ुशी के लिए
न जीत से कभी उलझे न मात से उलझे
हमीं ने तेरी निगाह-ए-ग़ज़ब को झेला है
हमीं तिरी निगह-ए-इल्तिफ़ात से उलझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi
our suggestion based on Qadir Siddiqi
As you were reading War Shayari Shayari