tiri duniya mein ye kya ho raha hai
hasi honton pe hai dil ro raha hai
hawa bad-kaariyon ki chal rahi hai
zameer insaaniyat ka so raha hai
padi hain khoon ki chheentein sabhi par
jise dekho vo daaman dho raha hai
bashar ka khoon hai paani se sasta
tamasha ik musalsal ho raha hai
usi ke munharif ham bhi hain qadir
jo daava aaj tak ham ko raha hai
तिरी दुनिया में ये क्या हो रहा है
हँसी होंटों पे है दिल रो रहा है
हवा बद-कारियों की चल रही है
ज़मीर इंसानियत का सो रहा है
पड़ी हैं ख़ून की छींटें सभी पर
जिसे देखो वो दामन धो रहा है
बशर का ख़ून है पानी से सस्ता
तमाशा इक मुसलसल हो रहा है
उसी के मुन्हरिफ़ हम भी हैं 'क़ादिर'
जो दावा आज तक हम को रहा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi
our suggestion based on Qadir Siddiqi
As you were reading Environment Shayari Shayari