haq wafaon ka jafaon se ada karte hain log | हक़ वफ़ाओं का जफ़ाओं से अदा करते हैं लोग

  - Qadir Siddiqi

haq wafaon ka jafaon se ada karte hain log
aaj ki duniya ko kya kahiye ki kya karte hain log

aankh pur-nam hont larzaan dil ghamon se paash paash
is tarah bhi zindagi ka saamna karte hain log

ai zamaane ki ravish teri wafa-koshi ki khair
ahad-o-paimaan tod kar wa'da wafa karte hain log

ai wufoor-e-zindagi ye bhi tira ej'aaz hai
zahar peete hain musalsal aur jiya karte hain log

utna utna dil mein uthata hai bagaavat ka ghubaar
jitna jitna dil ko paaband-e-wafa karte hain log

us ke paane ki masarrat chand lamhe bhi nahin
jis ko kho kar umr bhar aah-o-buka karte hain log

meri roodaad-e-alam mein koi pahluu hai zaroor
sun ke roodaad-e-alam kyun hans diya karte hain log

jab bhi hota hai jafaon ka kahi bhi tazkira
naam jaane kyun tumhaara le liya karte hain log

subh-e-nau ki yaad mein kattee hai har shaam-e-firaq
sukh ki ummeedon mein akshar dukh saha karte hain log

ranj-o-gham aish-o-masarrat dhoop bhi hai chaanv bhi
hanste hanste zindagi mein ro diya karte hain log

kaun kaam aata hai aadhe waqt par qadir ye dekh
zeest ke har mod par yun to mila karte hain log

हक़ वफ़ाओं का जफ़ाओं से अदा करते हैं लोग
आज की दुनिया को क्या कहिए कि क्या करते हैं लोग

आँख पुर-नम होंट लर्ज़ां दिल ग़मों से पाश पाश
इस तरह भी ज़िंदगी का सामना करते हैं लोग

ऐ ज़माने की रविश तेरी वफ़ा-कोशी की ख़ैर
अहद-ओ-पैमाँ तोड़ कर वा'दा वफ़ा करते हैं लोग

ऐ वफ़ूर-ए-ज़िंदगी ये भी तिरा ए'जाज़ है
ज़हर पीते हैं मुसलसल और जिया करते हैं लोग

उतना उतना दिल में उठता है बग़ावत का ग़ुबार
जितना जितना दिल को पाबंद-ए-वफ़ा करते हैं लोग

उस के पाने की मसर्रत चंद लम्हे भी नहीं
जिस को खो कर उम्र भर आह-ओ-बुका करते हैं लोग

मेरी रूदाद-ए-अलम में कोई पहलू है ज़रूर
सुन के रूदाद-ए-अलम क्यों हँस दिया करते हैं लोग

जब भी होता है जफ़ाओं का कहीं भी तज़्किरा
नाम जाने क्यों तुम्हारा ले लिया करते हैं लोग

सुब्ह-ए-नौ की याद में कटती है हर शाम-ए-फ़िराक़
सुख की उम्मीदों में अक्सर दुख सहा करते हैं लोग

रंज-ओ-ग़म ऐश-ओ-मसर्रत धूप भी है छाँव भी
हँसते हँसते ज़िंदगी में रो दिया करते हैं लोग

कौन काम आता है आड़े वक़्त पर 'क़ादिर' ये देख
ज़ीस्त के हर मोड़ पर यूँ तो मिला करते हैं लोग

  - Qadir Siddiqi

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadir Siddiqi

As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qadir Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari