be-kaar bhi is daur mein be-kaar nahin hai | बे-कार भी इस दौर में बे-कार नहीं है

  - Qadir Siddiqi

be-kaar bhi is daur mein be-kaar nahin hai
deewaana hai vo kaun jo hushyaar nahin hai

is daur-e-tarqqi pe bahut naaz na kijeye
is daur mein sab kuchh hai magar pyaar nahin hai

har cheez ki bohataat hai is daur mein lekin
vo cheez jise kahte hain kirdaar nahin hai

is baat pe naaraz hain na-khush hain khinche hain
vo baat ki jis baat ka izhaar nahin hai

ye baat hai kuchh aur ki dil zakhmi hai us ka
soorat se to qadir tira beemaar nahin hai

बे-कार भी इस दौर में बे-कार नहीं है
दीवाना है वो कौन जो हुश्यार नहीं है

इस दौर-ए-तरक़्क़ी पे बहुत नाज़ न कीजे
इस दौर में सब कुछ है मगर प्यार नहीं है

हर चीज़ की बोहतात है इस दौर में लेकिन
वो चीज़ जिसे कहते हैं किरदार नहीं है

इस बात पे नाराज़ हैं ना-ख़ुश हैं खिंचे हैं
वो बात कि जिस बात का इज़हार नहीं है

ये बात है कुछ और कि दिल ज़ख़्मी है उस का
सूरत से तो 'क़ादिर' तिरा बीमार नहीं है

  - Qadir Siddiqi

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadir Siddiqi

As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qadir Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari