rafeeq-o-monis-o-hamdum koi mila hi nahin
vo kya jiye jise jeene ka aasraa hi nahin
use haqeeqat-e-uzma samajh ke itraaye
vo naqsh-e-zeest jo sach poochiye bana hi nahin
khuda ke vaaste kuchh raushni ghatta deeje
nazar hai kheera kuchh aisi ki soojhtaa hi nahin
hawaas-o-hosh-o-khirad sab wahan salaamat hain
jahaan nigaah ka jaadu kabhi chala hi nahin
vo apni zaat se baahar nikal ke kya jaaye
vo deeda-war jo kisi samt dekhta hi nahin
tiri nigaah ke sadqe tiri nazar ke nisaar
gira jo teri nazar se vo phir utha hi nahin
us ek baat ke qurbaan jaaie ki jise
tamaam umr kaha aur kuchh kaha hi nahin
fasaana-e-dil-e-sad-chaak ka maal na pooch
suna to us ne magar jaise kuchh suna hi nahin
dikhaaun bhi to kise dard-o-ranj ki tasveer
mere jahaan mein koi dard-aashna hi nahin
mere rafeeq mujhe daras-e-maslhat kyun den
dilon ki baat hai yaa maslahat rawa hi nahin
zamaana us se khushi kyun talab kare qadir
jise ghamon ke siva aur kuchh mila hi nahin
रफ़ीक़-ओ-मोनिस-ओ-हमदम कोई मिला ही नहीं
वो क्या जिए जिसे जीने का आसरा ही नहीं
उसे हक़ीक़त-ए-उज़मा समझ के इतराए
वो नक़्श-ए-ज़ीस्त जो सच पूछिए बना ही नहीं
ख़ुदा के वास्ते कुछ रौशनी घटा दीजे
नज़र है ख़ीरा कुछ ऐसी कि सूझता ही नहीं
हवास-ओ-होश-ओ-ख़िरद सब वहाँ सलामत हैं
जहाँ निगाह का जादू कभी चला ही नहीं
वो अपनी ज़ात से बाहर निकल के क्या जाए
वो दीदा-वर जो किसी सम्त देखता ही नहीं
तिरी निगाह के सदक़े तिरी नज़र के निसार
गिरा जो तेरी नज़र से वो फिर उठा ही नहीं
उस एक बात के क़ुर्बान जाइए कि जिसे
तमाम उम्र कहा और कुछ कहा ही नहीं
फ़साना-ए-दिल-ए-सद-चाक का मआल न पूछ
सुना तो उस ने मगर जैसे कुछ सुना ही नहीं
दिखाऊँ भी तो किसे दर्द-ओ-रंज की तस्वीर
मिरे जहाँ में कोई दर्द-आश्ना ही नहीं
मिरे रफ़ीक़ मुझे दरस-ए-मस्लहत क्यों दें
दिलों की बात है याँ मस्लहत रवा ही नहीं
ज़माना उस से ख़ुशी क्यों तलब करे 'क़ादिर'
जिसे ग़मों के सिवा और कुछ मिला ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi
our suggestion based on Qadir Siddiqi
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari