mila unhen bhi maza dil pe chot khaane ka
iraada rakhte the jo ham ko aazmaane ka
vo aa gaye to dar-o-baam se kiran footi
naseeb jaag utha is ghareeb-khaane ka
unhen khuda na kare sharmasaar hona ho
hamein malaal nahin kuchh fareb khaane ka
na aah-e-neem-shabi kuchh na naala-e-sehri
unhen to uzr koi chahiye sataane ka
mitein to kaise mitein husn-o-ishq ke jhagde
na vo badlne ke na dil hi baaz aane ka
मिला उन्हें भी मज़ा दिल पे चोट खाने का
इरादा रखते थे जो हम को आज़माने का
वो आ गए तो दर-ओ-बाम से किरन फूटी
नसीब जाग उठा इस ग़रीब-ख़ाने का
उन्हें ख़ुदा न करे शर्मसार होना हो
हमें मलाल नहीं कुछ फ़रेब खाने का
न आह-ए-नीम-शबी कुछ न नाला-ए-सहरी
उन्हें तो उज़्र कोई चाहिए सताने का
मिटें तो कैसे मिटें हुस्न-ओ-इश्क़ के झगड़े
न वो बदलने के न दिल ही बाज़ आने का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi
our suggestion based on Qadir Siddiqi
As you were reading Khuda Shayari Shayari