badli hui nazaron se ab bhi andaaz purane maange hai | बदली हुई नज़रों से अब भी अंदाज़ पुराने माँगे है

  - Qadir Siddiqi

badli hui nazaron se ab bhi andaaz purane maange hai
dil mera kitna moorakh hai vo beete zamaane maange hai

muddat hui dil taaraaj hue muddat hui rishton ko toote
duniya hai ki zalim aaj bhi vo rangeen fasaane maange hai

dil hai ki vo hai murjhaya sa har aas ka chehra hai utara
har dost mera phir bhi mujh se khushiyon ke khazaane maange hai

haalaat ne aansu bakshe hain taqdeer mein rona likha hai
aur waqt na jaane kyun mujh se honton pe taraane maange hai

aql aur khird dono mujh ko deti hain duaaein jeene ki
ehsaas mera mujh se lekin marne ke bahaane maange hai

basti kaisi mehfil kaisi kaise kooche kaise bazaar
duniya se jahaan chhup kar ro le dil aise thikaane maange hai

har chaah ka badla chaahat ho har pyaar ka pyaara ho anjaam
kuchh soch zara tu duniya se kya cheez deewane maange hai

बदली हुई नज़रों से अब भी अंदाज़ पुराने माँगे है
दिल मेरा कितना मूरख है वो बीते ज़माने माँगे है

मुद्दत हुई दिल ताराज हुए मुद्दत हुई रिश्तों को टूटे
दुनिया है कि ज़ालिम आज भी वो रंगीन फ़साने माँगे है

दिल है कि वो है मुरझाया सा हर आस का चेहरा है उतरा
हर दोस्त मिरा फिर भी मुझ से ख़ुशियों के ख़ज़ाने माँगे है

हालात ने आँसू बख़्शे हैं तक़दीर में रोना लिखा है
और वक़्त न जाने क्यों मुझ से होंटों पे तराने माँगे है

अक़्ल और ख़िरद दोनों मुझ को देती हैं दुआएँ जीने की
एहसास मिरा मुझ से लेकिन मरने के बहाने माँगे है

बस्ती कैसी महफ़िल कैसी कैसे कूचे कैसे बाज़ार
दुनिया से जहाँ छुप कर रो ले दिल ऐसे ठिकाने माँगे है

हर चाह का बदला चाहत हो हर प्यार का प्यारा हो अंजाम
कुछ सोच ज़रा तू दुनिया से क्या चीज़ दिवाने माँगे है

  - Qadir Siddiqi

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qadir Siddiqi

As you were reading Shayari by Qadir Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qadir Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari