kahiye kya aur faisley ki baat | कहिए क्या और फ़ैसले की बात

  - Qalaq Merathi

kahiye kya aur faisley ki baat
vasl hai ik mua'mle ki baat

us ke kooche mein laakh sar-gardaan
ek yusuf ke qafile ki baat

gesu-e-hoor aur zaahid bas
zikr-e-kaakul hai silsile ki baat

gair se ham ko rask-e-sall-e-ala
kahiye kuchh apne hausale ki baat

ek aalam ko kar diya paamaal
ye bhi hai koi mashghale ki baat

kya bigadna unhen nahin aata
sulh bhi hai mujaadle ki baat

dekh kya kahte hain khuda se ham
ik zara hai mukaable ki baat

is qadar aur qareeb-e-khaatir tu
aql se hai ye faasle ki baat

daar-e-hashr se bhi haal kaha
nahin rukti kahi gile ki baat

na chale paanv aur na sar hi chale
be-sar-o-pa hai aable ki baat

koi mazmoon kabhi na pesh aaya
sher mein ki hai phir sile ki baat

hum-nasheen arsh hil gaya shab-e-hijr
pooch mat jee ke zalzale ki baat

ai qalq dil ko soch kar dena
kuchh nahin theek valvale ki baat

कहिए क्या और फ़ैसले की बात
वस्ल है इक मुआ'मले की बात

उस के कूचे में लाख सर-गरदाँ
एक यूसुफ़ के क़ाफ़िले की बात

गेसू-ए-हूर और ज़ाहिद बस
ज़िक्र-ए-काकुल है सिलसिले की बात

ग़ैर से हम को रश्क-ए-सल्ल-ए-अला
कहिए कुछ अपने हौसले की बात

एक आलम को कर दिया पामाल
ये भी है कोई मश्ग़ले की बात

क्या बिगड़ना उन्हें नहीं आता
सुल्ह भी है मुजादले की बात

देख क्या कहते हैं ख़ुदा से हम
इक ज़रा है मुक़ाबले की बात

इस क़दर और क़रीब-ए-ख़ातिर तू
अक़्ल से है ये फ़ासले की बात

दावर-ए-हश्र से भी हाल कहा
नहीं रुकती कहीं गिले की बात

न चले पाँव और न सर ही चले
बे-सर-ओ-पा है आबले की बात

कोई मज़मूँ कभी न पेश आया
शेर में की है फिर सिले की बात

हम-नशीं अर्श हिल गया शब-ए-हिज्र
पूछ मत जी के ज़लज़ले की बात

ऐ क़लक़ दिल को सोच कर देना
कुछ नहीं ठीक वलवले की बात

  - Qalaq Merathi

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari