kya aa ke jahaan mein kar gaye ham | क्या आ के जहाँ में कर गए हम

  - Qalaq Merathi

kya aa ke jahaan mein kar gaye ham
ik daagh jigar pe dhar gaye ham

mehmaan-e-jahaan the ek shab ke
shaam aaye the aur sehar gaye ham

jun sham'a tamaam umr roye
har bazm se chashm-e-tar gaye ham

apni hi nazar nahin vagarna
tu hi tha udhar jidhar gaye ham

naale mein asar to kyun na hota
par tera lihaaz kar gaye ham

ham jaante hain ki tu hai ham mein
go dhoondhne dar-b-dar gaye ham

jhagda tha jo dil pe us ko chhodaa
kuchh soch ke sulh kar gaye ham

is dasht ke khaar-o-khas se bach kar
jon baad-e-subuk guzar gaye ham

theen lutf se dil mein juraten kuchh
par tere gazab se dar gaye ham

hasrat hi se ham bane the goya
aankh uthte hi uthte mar gaye ham

deerina rafeeq tha qalq haaye
vo kya hi mua ki mar gaye ham

क्या आ के जहाँ में कर गए हम
इक दाग़ जिगर पे धर गए हम

मेहमान-ए-जहाँ थे एक शब के
शाम आए थे और सहर गए हम

जूँ शम्अ' तमाम उम्र रोए
हर बज़्म से चश्म-ए-तर गए हम

अपनी ही नज़र नहीं वगर्ना
तू ही था उधर जिधर गए हम

नाले में असर तो क्यूँ न होता
पर तेरा लिहाज़ कर गए हम

हम जानते हैं कि तू है हम में
गो ढूँडने दर-ब-दर गए हम

झगड़ा था जो दिल पे उस को छोड़ा
कुछ सोच के सुल्ह कर गए हम

इस दश्त के ख़ार-ओ-ख़स से बच कर
जों बाद-ए-सुबुक गुज़र गए हम

थीं लुत्फ़ से दिल में जुरअतें कुछ
पर तेरे ग़ज़ब से डर गए हम

हसरत ही से हम बने थे गोया
आँख उठते ही उठते मर गए हम

देरीना रफ़ीक़ था 'क़लक़' हाए
वो क्या ही मुआ कि मर गए हम

  - Qalaq Merathi

Violence Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Violence Shayari Shayari