naqsh-bar-aab naam hai sail-e-fana maqaam
is khaanumaan-kharaab ka kya naam kya maqaam
har roz taaza manzil o har shab naya maqaam
mohlat nahin qayaam ki duniya hai kya maqaam
ja mil gai jise tiri deewaar ke tale
hai us ko gor-e-tang bhi ik dil-kusha maqaam
darte hain ham to naam bhi lete hue tira
tu hi bata ki poochiye kyunkar tira maqaam
insaan ki sarishta mein hai uzr-e-lang-e-zof
saabit hua ki door hai mujh se mera maqaam
andaaza hi galat tha magar imtiyaaz ka
ya'ni mahall-e-ghair hi tha aap ka maqaam
khilta nahin kabhi na kabhi saaf hi rahe
kis tarah ho suboot ki dil hai tira maqaam
wa'iz munaazat ka sabab mujh mein tujh mein kya
masjid tira mahal hai mera may-kada maqaam
yaa waan idhar udhar yun hi gir-pad ke ki basar
misl-e-ghubaar-e-raah raha jaa-b-jaa maqaam
ai ahl-e-dair zikr-e-haram tum se ya karein
poocho buton hi se kabhi kaaba bhi tha maqaam
kya kya bayaan jahaan ke karein amn-o-chain ko
us ke bhi dar pe apna to muddat raha maqaam
kya jaaniye qalq ki iraada hai apna kya
matlab se kuchh safar na sar-e-muddaa maqaam
नक़्श-बर-आब नाम है सैल-ए-फ़ना मक़ाम
इस ख़ानुमाँ-ख़राब का क्या नाम क्या मक़ाम
हर रोज़ ताज़ा मंज़िल ओ हर शब नया मक़ाम
मोहलत नहीं क़याम की दुनिया है क्या मक़ाम
जा मिल गई जिसे तिरी दीवार के तले
है उस को गोर-ए-तंग भी इक दिल-कुशा मक़ाम
डरते हैं हम तो नाम भी लेते हुए तिरा
तू ही बता कि पूछिए क्यूँकर तिरा मक़ाम
इंसान की सरिश्त में है उज़्र-ए-लंग-ए-ज़ोफ़
साबित हुआ कि दूर है मुझ से मिरा मक़ाम
अंदाज़ा ही ग़लत था मगर इम्तियाज़ का
या'नी महल्ल-ए-ग़ैर ही था आप का मक़ाम
खिलता नहीं कभी न कभी साफ़ ही रहे
किस तरह हो सुबूत कि दिल है तिरा मक़ाम
वाइ'ज़ मुनाज़अत का सबब मुझ में तुझ में क्या
मस्जिद तिरा महल है मिरा मय-कदा मक़ाम
याँ वाँ इधर उधर यूँ ही गिर-पड़ के की बसर
मिस्ल-ए-ग़ुबार-ए-राह रहा जा-ब-जा मक़ाम
ऐ अहल-ए-दैर ज़िक्र-ए-हरम तुम से या करें
पूछो बुतों ही से कभी काबा भी था मक़ाम
क्या क्या बयाँ जहाँ के करें अम्न-ओ-चैन को
उस के भी दर पे अपना तो मुद्दत रहा मक़ाम
क्या जानिए 'क़लक़' कि इरादा है अपना क्या
मतलब से कुछ सफ़र न सर-ए-मुद्दआ' मक़ाम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qalaq Merathi
our suggestion based on Qalaq Merathi
As you were reading Wahshat Shayari Shayari