panaah dhundh raha hai har ik makaan ki taraf | पनाह ढूँड रहा है हर इक मकाँ की तरफ़

  - Qamar Gwaliari

panaah dhundh raha hai har ik makaan ki taraf
ki baccha daud ke aata hai jaise maa ki taraf

amal se aap ke qadmon mein kahkashaan hogi
ye kya ki dekha karein aap kahkashaan ki taraf

lahu se seencha hua gulsitaan mitega nahin
hawaaein garm chalen laakh gulsitaan ki taraf

khabar ye sab ko hai paani nahin saraab hai vo
magar hain phir bhi sabhi sai-e-raaegaan ki taraf

hata rahe ho ye tinke to socho kya hoga
parinde aayenge jis waqt aashiyaan ki taraf

ye rahnumaaon ke bakshe hue andhere hain
hamein pata nahin ham chal pade kahaan ki taraf

kisi ne pairo'n se kuchla koi gulaab qamar
meri nigaah ne dekha hai aasmaan ki taraf

पनाह ढूँड रहा है हर इक मकाँ की तरफ़
कि बच्चा दौड़ के आता है जैसे माँ की तरफ़

अमल से आप के क़दमों में कहकशाँ होगी
ये क्या कि देखा करें आप कहकशाँ की तरफ़

लहू से सींचा हुआ गुल्सिताँ मिटेगा नहीं
हवाएँ गर्म चलें लाख गुल्सिताँ की तरफ़

ख़बर ये सब को है पानी नहीं सराब है वो
मगर हैं फिर भी सभी सई-ए-राएगाँ की तरफ़

हटा रहे हो ये तिनके तो सोचो क्या होगा
परिंदे आएँगे जिस वक़्त आशियाँ की तरफ़

ये रहनुमाओं के बख़्शे हुए अंधेरे हैं
हमें पता नहीं हम चल पड़े कहाँ की तरफ़

किसी ने पैरों से कुचला कोई गुलाब 'क़मर'
मिरी निगाह ने देखा है आसमाँ की तरफ़

  - Qamar Gwaliari

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Gwaliari

As you were reading Shayari by Qamar Gwaliari

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Gwaliari

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari