insaan ko insaan se kuchh kaam nahin hota | इंसान को इंसाँ से कुछ काम नहीं होता

  - Qamar Gwaliari

insaan ko insaan se kuchh kaam nahin hota
duniya mein mohabbat ka jab naam nahin hota

ye kaisi haqeeqat hai ai dost mohabbat mein
aaghaaz to hota hai anjaam nahin hota

tum se to na kuchh hoga ai chaaragaro jaao
bimaar-e-mohabbat ko aaraam nahin hota

ye manzil-e-aakhir hai aa jaao ayaadat ko
aa jaane se aise mein ilzaam nahin hota

laazim hai samajh lena nazaron ki zabaan saahib
lafzon se mohabbat mein kuchh kaam nahin hota

badhte hue dhaare hon barpa ho qamar toofaan
himmat se jo badh jaaye naakaam nahin hota

इंसान को इंसाँ से कुछ काम नहीं होता
दुनिया में मोहब्बत का जब नाम नहीं होता

ये कैसी हक़ीक़त है ऐ दोस्त मोहब्बत में
आग़ाज़ तो होता है अंजाम नहीं होता

तुम से तो न कुछ होगा ऐ चारागरो जाओ
बीमार-ए-मोहब्बत को आराम नहीं होता

ये मंज़िल-ए-आख़िर है आ जाओ अयादत को
आ जाने से ऐसे में इल्ज़ाम नहीं होता

लाज़िम है समझ लेना नज़रों की ज़बाँ साहिब
लफ़्ज़ों से मोहब्बत में कुछ काम नहीं होता

बढ़ते हुए धारे हों बरपा हो 'क़मर' तूफ़ाँ
हिम्मत से जो बढ़ जाए नाकाम नहीं होता

  - Qamar Gwaliari

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Gwaliari

As you were reading Shayari by Qamar Gwaliari

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Gwaliari

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari