phir jala koi aashiyaan saahib | फिर जला कोई आशियाँ साहिब

  - Qamar Gwaliari

phir jala koi aashiyaan saahib
phir fazaa hai dhuaan dhuaan saahib

hai zameer ek aaine ki tarah
dekhiye apni khaamiyaan saahib

aap ka saath kya hua hai naseeb
mera rasta hai kahkashaan saahib

sirf aankhon se baat hoti hai
ishq rakhta nahin zabaan saahib

jab buraai ko us ne boya hai
kaise kaate vo nekiyaan saahib

ped ab chaanv de nahin saka
tod daali hain daliyaan saahib

kya haqeeqat hai saamne aaye
len qamar ka bhi imtihaan saahib

फिर जला कोई आशियाँ साहिब
फिर फ़ज़ा है धुआँ धुआँ साहिब

है ज़मीर एक आइने की तरह
देखिए अपनी ख़ामियाँ साहिब

आप का साथ क्या हुआ है नसीब
मेरा रस्ता है कहकशाँ साहिब

सिर्फ़ आँखों से बात होती है
इश्क़ रखता नहीं ज़बाँ साहिब

जब बुराई को उस ने बोया है
कैसे काटे वो नेकियाँ साहिब

पेड़ अब छाँव दे नहीं सकता
तोड़ डाली हैं डालियाँ साहिब

क्या हक़ीक़त है सामने आए
लें 'क़मर' का भी इम्तिहाँ साहिब

  - Qamar Gwaliari

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Gwaliari

As you were reading Shayari by Qamar Gwaliari

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Gwaliari

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari