ai khaak-e-watan tere parastaar to sab hain
ham hi hue kyun khaar gunahgaar to sab hain
ham bhi hain kafan sar pe uthaaye hue ehsaan
jaldi thi tumhein warna sar-e-daar to sab hain
dekhenge bane sheesha-e-jaan kis ka nishaana
patthar liye yun darpay-e-aazaar to sab hain
baahar na dhuaan hai na sulagne ka nishaan hai
andar se bhadakte hue angaar to sab hain
ai shehar-e-ahinsaa mein khade haikal-e-gaandhi
aa dekh tire shehar mein khoon-khwaar to sab hain
haakim bhi hain munsif bhi jo kahte hain sar-e-bazm
maasoom hain do-chaar ye gaddaar to sab hain
ik nooh nahin jo hamein kashti mein bitha le
warna kisi toofaan ke aasaar to sab hain
ऐ ख़ाक-ए-वतन तेरे परस्तार तो सब हैं
हम ही हुए क्यों ख़ार गुनहगार तो सब हैं
हम भी हैं कफ़न सर पे उठाए हुए एहसाँ
जल्दी थी तुम्हें वर्ना सर-ए-दार तो सब हैं
देखेंगे बने शीशा-ए-जाँ किस का निशाना
पत्थर लिए यूँ दरपय-ए-आज़ार तो सब हैं
बाहर न धुआँ है न सुलगने का निशाँ है
अन्दर से भड़कते हुए अंगार तो सब हैं
ऐ शहर-ए-अहिंसा में खड़े हैकल-ए-गाँधी
आ देख तिरे शहर में खूँ-ख़्वार तो सब हैं
हाकिम भी हैं मुंसिफ़ भी जो कहते हैं सर-ए-बज़्म
मासूम हैं दो-चार ये ग़द्दार तो सब हैं
इक नूह नहीं जो हमें कश्ती में बिठा ले
वर्ना किसी तूफ़ान के आसार तो सब हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raees
our suggestion based on Qamar Raees
As you were reading Kanta Shayari Shayari