mata-e-fikr nashaat-e-amal farogh-e-hayaat
tumhaara dard tumhaari ye aakhiri sougaat
hareef saara zamaana raqeeb saara jahaan
chura na le koi darta hoon is ka rang-e-sabaat
kahaan chhupaau use kis tarah bachaaun use
charaagh ek hawa tez aur andheri raat
faraagh jism ka dil ka sukoon nazar ka qaraar
tumhaare dard ke dushman hain ye sabhi haalaat
main us maqaam pe pahuncha hoon in dinon ki jahaan
na kaahish-e-gham-e-dauraan na kaavish-e-gham-e-zaat
bas ik khalish ke siva ek aarzoo ke siva
ajeeb shehr-e-khamaoshaan hai shehar-e-ehsaasaat
tumhi batao ki aise mein ik tumhaare siva
kahoon to kis se kahoon ab tumhaare dard ki baat
मता-ए-फ़िक्र नशात-ए-अमल फ़रोग़-ए-हयात
तुम्हारा दर्द तुम्हारी ये आख़िरी सौग़ात
हरीफ़ सारा ज़माना रक़ीब सारा जहाँ
चुरा न ले कोई डरता हूँ इस का रंग-ए-सबात
कहाँ छुपाऊँ उसे किस तरह बचाऊँ उसे
चराग़ एक हवा तेज़ और अँधेरी रात
फ़राग़ जिस्म का दिल का सुकूँ नज़र का क़रार
तुम्हारे दर्द के दुश्मन हैं ये सभी हालात
मैं उस मक़ाम पे पहुँचा हूँ इन दिनों कि जहाँ
न काहिश-ए-ग़म-ए-दौराँ न काविश-ए-ग़म-ए-ज़ात
बस इक ख़लिश के सिवा एक आरज़ू के सिवा
अजीब शहर-ए-ख़मोशाँ है शहर-ए-एहसासात
तुम्ही बताओ कि ऐसे में इक तुम्हारे सिवा
कहूँ तो किस से कहूँ अब तुम्हारे दर्द की बात
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raees
our suggestion based on Qamar Raees
As you were reading Bechaini Shayari Shayari