chalo ye bhi apna hi jurm hai ye gunaah bhi mere sar gaye | चलो ये भी अपना ही जुर्म है ये गुनाह भी मिरे सर गए

  - Qamar Raees

chalo ye bhi apna hi jurm hai ye gunaah bhi mere sar gaye
main na chal saka to thehar gaya vo guzar sake to guzar gaye

wahi saa'atein hain farogh-e-jaan meri raah-e-shauq mein aaj bhi
meri manzilon ke naseeb jab tire naqsh-e-paa se sanwar gaye

wahi marhale meri yaad hain wahi mashghale mera khwaab hain
shab-o-roz jab tire gesuon tire aarizon mein thehar gaye

vo nadi ka saahil-e-dilruba hamein yaad sab hai zara zara
tire rukh pe jab meri ik talab pe shafaq ke rang bikhar gaye

main jo chup raha to ye baat thi ki kisi ka raaz na khul sake
main jo ro pada to ye raaz tha ki meri wafa se vo dar gaye

main kahaan hoon saagar-e-may kahaan shab-e-maah kyun hai dhuaan dhuaan
ye bata khumaar-e-sehr-gahi mere aql-o-hosh kidhar gaye

चलो ये भी अपना ही जुर्म है ये गुनाह भी मिरे सर गए
मैं न चल सका तो ठहर गया वो गुज़र सके तो गुज़र गए

वही साअ'तें हैं फ़रोग़-ए-जाँ मिरी राह-ए-शौक़ में आज भी
मिरी मंज़िलों के नसीब जब तिरे नक़्श-ए-पा से सँवर गए

वही मरहले मिरी याद हैं वही मश्ग़ले मिरा ख़्वाब हैं
शब-ओ-रोज़ जब तिरे गेसुओं तिरे आरिज़ों में ठहर गए

वो नदी का साहिल-ए-दिलरुबा हमें याद सब है ज़रा ज़रा
तिरे रुख़ पे जब मिरी इक तलब पे शफ़क़ के रंग बिखर गए

मैं जो चुप रहा तो ये बात थी कि किसी का राज़ न खुल सके
मैं जो रो पड़ा तो ये राज़ था कि मिरी वफ़ा से वो डर गए

मैं कहाँ हूँ साग़र-ए-मय कहाँ शब-ए-माह क्यों है धुआँ धुआँ
ये बता ख़ुमार-ए-सहर-गही मिरे अक़्ल-ओ-होश किधर गए

  - Qamar Raees

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raees

As you were reading Shayari by Qamar Raees

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raees

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari