fasaana-e-gham-e-dil ab nahin sune jaate | फ़साना-ए-ग़म-ए-दिल अब नहीं सुने जाते

  - Raabia Sultana Nashad

fasaana-e-gham-e-dil ab nahin sune jaate
shab-e-firaq mein taare nahin gine jaate
dil-o-jigar mein hai ik dard kahkashaan ki tarah
galat jagah kabhi afshaan nahin chune jaate
lagi hai chot musalsal kuchh is tarah dil mein
ki ham se daag-e-jigar bhi nahin gine jaate
asar ho jis ka wahi she'r she'r hai naashaad
har ek she'r pe sar bhi nahin dhune jaate

फ़साना-ए-ग़म-ए-दिल अब नहीं सुने जाते
शब-ए-फ़िराक़ में तारे नहीं गिने जाते
दिल-ओ-जिगर में है इक दर्द कहकशाँ की तरह
ग़लत जगह कभी अफ़्शाँ नहीं चुने जाते
लगी है चोट मुसलसल कुछ इस तरह दिल में
कि हम से दाग़-ए-जिगर भी नहीं गिने जाते
असर हो जिस का वही शे'र शे'र है 'नाशाद'
हर एक शे'र पे सर भी नहीं धुने जाते

  - Raabia Sultana Nashad

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Raabia Sultana Nashad

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari