lagta hai is jahaan ki ab khairiyat nahin hai | लगता है इस जहाँ की अब ख़ैरियत नहीं है

  - Rachit Sonkar

lagta hai is jahaan ki ab khairiyat nahin hai
maasoom mein bhi ab to maasoomiyat nahin hai

furqat ko ho gai hai furqat zamaane bhar se
masroofiyat ko bhi ab masroofiyat nahin hai

ab aur kitna neeche gir sakti hai ye duniya
insaan hai sabhi par insaaniyat nahin hai

rishte hi kha rahe hai rishto ki ahmiyat ko
aur aap kah rahe hai haiwaaniyat nahin hai

dekho जिधर,उधर hai nafrat ka bol-baala
duniya mein ab mohabbat ki ahmiyat nahin hai

andar sulag rahe hai beete dinon ke lashkar
dil bhi dhuaan-dhuaan hai kuchh khairiyat nahin hai

लगता है इस जहाँ की अब ख़ैरियत नहीं है
मासूम में भी अब तो मासूमियत नहीं है

फ़ुर्सत को हो गई है फ़ुर्सत ज़माने भर से
मसरूफ़ियत को भी अब मसरूफ़ियत नहीं है

अब और कितना नीचे गिर सकती है ये दुनिया
इंसान है सभी पर इंसानियत नहीं है

रिश्ते ही खा रहे है रिश्तो की अहमियत को
और आप कह रहे है हैवानियत नहीं है

देखो जिधर,उधर है नफ़रत का बोल-बाला
दुनिया में अब मोहब्बत की अहमियत नहीं है

अंदर सुलग रहे है बीते दिनों के लश्कर
दिल भी धुआँ-धुआँ है कुछ ख़ैरियत नहीं है

  - Rachit Sonkar

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rachit Sonkar

As you were reading Shayari by Rachit Sonkar

Similar Writers

our suggestion based on Rachit Sonkar

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari