ab to jo manzar-e-shaadaab nazar aata hai
aisa lagta hai koi khwaab nazar aata hai
is haseen shehar mein har samt hai logon ka hujoom
aur insaan hai ki naayaab nazar aata hai
kab talak jins-e-wafa shehar mein arzaan hogi
ab ye dariya bhi to paayaab nazar aata hai
gardish-e-waqt ne aise bhi taraashe hain saraab
dasht-e-be-aab mein girdaab nazar aata hai
hone lagta hai tire qurb ka ehsaas mujhe
chaudahveen shab ko jo mahtaab nazar aata hai
teri angusht-e-hinaai ka jise lams mile
vo nageena bada khush-aab nazar aata hai
us ki khushboo se mo'attar mera aangan hai raeis
jaagti aankh se ye khwaab nazar aata hai
अब तो जो मंज़र-ए-शादाब नज़र आता है
ऐसा लगता है कोई ख़्वाब नज़र आता है
इस हसीं शहर में हर सम्त है लोगों का हुजूम
और इंसाँ है कि नायाब नज़र आता है
कब तलक जिंस-ए-वफ़ा शहर में अर्ज़ां होगी
अब ये दरिया भी तो पायाब नज़र आता है
गर्दिश-ए-वक़्त ने ऐसे भी तराशे हैं सराब
दश्त-ए-बे-आब में गिर्दाब नज़र आता है
होने लगता है तिरे क़ुर्ब का एहसास मुझे
चौदहवीं शब को जो महताब नज़र आता है
तेरी अंगुश्त-ए-हिनाई का जिसे लम्स मिले
वो नगीना बड़ा ख़ुश-आब नज़र आता है
उस की ख़ुशबू से मोअ'त्तर मिरा आँगन है 'रईस'
जागती आँख से ये ख़्वाब नज़र आता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raees Warsi
our suggestion based on Raees Warsi
As you were reading Gulshan Shayari Shayari