jab khwaahish-e-duniya se koi kaam nahin hai | जब ख़्वाहिश-ए-दुनिया से कोई काम नहीं है

  - Rafat Shameem

jab khwaahish-e-duniya se koi kaam nahin hai
kyun phir dil-e-shoreeda ko aaraam nahin hai

shaamil yahan isbaat mein pahloo-e-nafi hai
kaamil kisi aaghaaz ka anjaam nahin hai

vo dhoop hai aankhon mein ki jal jaati hai har shaam
manzar hai dhuaan koi lab-e-baam nahin hai

kya tarz-e-rifaqat hai ki milte hain b-sad-shauq
par zikr-e-shanasaai-o-paighaam nahin hai

tang-zarfi-e-hayyat jise kahte hain ghazal ki
afaaq-e-maani hai vo ibhaam nahin hai

जब ख़्वाहिश-ए-दुनिया से कोई काम नहीं है
क्यूँ फिर दिल-ए-शोरीदा को आराम नहीं है

शामिल यहाँ इसबात में पहलू-ए-नफ़ी है
कामिल किसी आग़ाज़ का अंजाम नहीं है

वो धूप है आँखों में कि जल जाती है हर शाम
मंज़र है धुआँ कोई लब-ए-बाम नहीं है

क्या तर्ज़-ए-रिफ़ाक़त है कि मिलते हैं ब-सद-शौक़
पर ज़िक्र-ए-शनासाई-ओ-पैग़ाम नहीं है

तंग-ज़र्फ़ी-ए-हय्यत जिसे कहते हैं ग़ज़ल की
आफ़ाक़-ए-मआ'नी है वो इबहाम नहीं है

  - Rafat Shameem

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafat Shameem

As you were reading Shayari by Rafat Shameem

Similar Writers

our suggestion based on Rafat Shameem

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari