apne ko aaghaaz ko anjaam mein paaya ham ne
raaz kya pardaa-e-ibhaam mein paaya ham ne
kho gaya tha jo kabhi bheed mein chehron ki use
apni tanhaai ki har shaam mein paaya ham ne
ret bharte rahe aankhon mein saraabo ki sada
uzr jeene ka usi kaam mein paaya ham ne
kitne sheerin lab-e-na-gufta magar the us ke
lutf kuchh aur hi dushnaam mein paaya ham ne
tum to dhoonda kiye ummeed-o-yaqeen mein us ko
dil ki har khwaahish-e-naakaam mein paaya ham ne
अपने को आग़ाज़ को अंजाम में पाया हम ने
राज़ क्या पर्दा-ए-इबहाम में पाया हम ने
खो गया था जो कभी भीड़ में चेहरों की उसे
अपनी तन्हाई की हर शाम में पाया हम ने
रेत भरते रहे आँखों में सराबों की सदा
उज़्र जीने का उसी काम में पाया हम ने
कितने शीरीं लब-ए-ना-गुफ़्ता मगर थे उस के
लुत्फ़ कुछ और ही दुश्नाम में पाया हम ने
तुम तो ढूँडा किए उम्मीद-ओ-यक़ीं में उस को
दिल की हर ख़्वाहिश-ए-नाकाम में पाया हम ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafat Shameem
our suggestion based on Rafat Shameem
As you were reading Anjam Shayari Shayari