dar kisi ka khula nahin lagta | दर किसी का खुला नहीं लगता

  - Rafat Shameem

dar kisi ka khula nahin lagta
shehar ye aashna nahin lagta

gham hai fikr-e-ma'aash mein aisa
aadmi ka pata nahin lagta

dost jab se hue hamaare tum
koi dushman bura nahin lagta

yun to milte hain toot kar lekin
rabt vo der-paa nahin lagta

wa'da huroon ka ba'ad marne ke
bandagi ka sila nahin lagta

दर किसी का खुला नहीं लगता
शहर ये आश्ना नहीं लगता

ग़म है फ़िक्र-ए-मआ'श में ऐसा
आदमी का पता नहीं लगता

दोस्त जब से हुए हमारे तुम
कोई दुश्मन बुरा नहीं लगता

यूँ तो मिलते हैं टूट कर लेकिन
रब्त वो देर-पा नहीं लगता

वा'दा हूरों का बा'द मरने के
बंदगी का सिला नहीं लगता

  - Rafat Shameem

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafat Shameem

As you were reading Shayari by Rafat Shameem

Similar Writers

our suggestion based on Rafat Shameem

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari