aankh har shab ko andheron ki qaba dhoti hai | आँख हर शब को अँधेरों की क़बा धोती है

  - Rafat Shameem

aankh har shab ko andheron ki qaba dhoti hai
khwaab ki ret mein suraj ka shajar boti hai

ek gumnaami ka jungle hoon jahaan shakl meri
apni pehchaan ka har naqsh-e-yaqeen khoti hai

door an-dekhi si sarhad hai ki jis ke us paar
koi basti hai jo raaton ko sada roti hai

sath-e-chaadar pe shikan aur sar-e-baaleen pe nasheb
ye to tanhaai hai bistar pe mere soti hai

bhooli-bisri hui yaadon ki ajab bheed hai jo
dil ke darwaaze pe har shaam lagi hoti hai

आँख हर शब को अँधेरों की क़बा धोती है
ख़्वाब की रेत में सूरज का शजर बोती है

एक गुमनामी का जंगल हूँ जहाँ शक्ल मिरी
अपनी पहचान का हर नक़्श-ए-यक़ीं खोती है

दूर अन-देखी सी सरहद है कि जिस के उस पार
कोई बस्ती है जो रातों को सदा रोती है

सत्ह-ए-चादर पे शिकन और सर-ए-बालीं पे नशेब
ये तो तन्हाई है बिस्तर पे मिरे सोती है

भूली-बिसरी हुई यादों की अजब भीड़ है जो
दिल के दरवाज़े पे हर शाम लगी होती है

  - Rafat Shameem

Democracy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafat Shameem

As you were reading Shayari by Rafat Shameem

Similar Writers

our suggestion based on Rafat Shameem

Similar Moods

As you were reading Democracy Shayari Shayari