ab tabi'at kahaan rawaani mein | अब तबीअ'त कहाँ रवानी में

  - Rafat Shameem

ab tabi'at kahaan rawaani mein
kashti tooti hai thehre paani mein

waqt yun tham gaya hai aankhon mein
daayere jam gaye hon paani mein

ghar hi andar se loot gaya saara
ham to baahar the paasbaani mein

lutf mausam ka kya uthaate ham
dil hamesha raha giraani mein

ham to khush-fahmiyon mein jeete hain
khoob matlab hai be-zabaani mein

अब तबीअ'त कहाँ रवानी में
कश्ती टूटी है ठहरे पानी में

वक़्त यूँ थम गया है आँखों में
दाएरे जम गए हों पानी में

घर ही अंदर से लुट गया सारा
हम तो बाहर थे पासबानी में

लुत्फ़ मौसम का क्या उठाते हम
दिल हमेशा रहा गिरानी में

हम तो ख़ुश-फ़हमियों में जीते हैं
ख़ूब मतलब है बे-ज़बानी में

  - Rafat Shameem

Tanz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafat Shameem

As you were reading Shayari by Rafat Shameem

Similar Writers

our suggestion based on Rafat Shameem

Similar Moods

As you were reading Tanz Shayari Shayari