ek aise makaan mein thehre hain
jis ke baahar ana ke pahre hain
shaam panchi kahaan guzaarenge
shaakh-e-gul par jale basere hain
ham to malba hain na-shanaasi ka
toote-phoote se chand chehre hain
aaj baanti hai dhoop suraj ne
apne daaman mein kyun andhere hain
jaal toote mile hain saahil par
kaun jaane kahaan machere hain
एक ऐसे मकाँ में ठहरे हैं
जिस के बाहर अना के पहरे हैं
शाम पंछी कहाँ गुज़ारेंगे
शाख़-ए-गुल पर जले बसेरे हैं
हम तो मलबा हैं ना-शनासी का
टूटे-फूटे से चंद चेहरे हैं
आज बाँटी है धूप सूरज ने
अपने दामन में क्यूँ अँधेरे हैं
जाल टूटे मिले हैं साहिल पर
कौन जाने कहाँ मछेरे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafat Shameem
our suggestion based on Rafat Shameem
As you were reading Self respect Shayari Shayari