toot kar aalam-e-ajzaa mein bikharte hi rahe
naqsh-e-taameer jahaan ban ke bigadte hi rahe
apne hi vehm-o-tazabzub the kharaabi ka sabab
ghar aqeedon ke basaaye to ujdate hi rahe
jaane kya baat hui mausam-e-gul mein ab ke
pankh panchi ke fazaaon mein bikharte hi rahe
chand yaadon ki panaah-gaah mein jaane kyun ham
saaya-e-shaam ki maanind simtate hi rahe
ham ne har rang se chehre ko sajaaya lekin
apni pehchaan ke aasaar bigadte hi rahe
टूट कर आलम-ए-अज्ज़ा में बिखरते ही रहे
नक़्श-ए-ता'मीर जहाँ बन के बिगड़ते ही रहे
अपने ही वहम-ओ-तज़बज़ुब थे ख़राबी का सबब
घर अक़ीदों के बसाए तो उजड़ते ही रहे
जाने क्या बात हुई मौसम-ए-गुल में अब के
पँख पंछी के फ़ज़ाओं में बिखरते ही रहे
चंद यादों की पनाह-गाह में जाने क्यूँ हम
साया-ए-शाम की मानिंद सिमटते ही रहे
हम ने हर रंग से चेहरे को सजाया लेकिन
अपनी पहचान के आसार बिगड़ते ही रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafat Shameem
our suggestion based on Rafat Shameem
As you were reading Festive Shayari Shayari