koi pahra laga nahin hota
main hi phir bhi raha nahin hota
khoon dil ka hua to ye jaana
naqsh kyun der-paa nahin hota
waqt kyun hai ghubaar aankhon mein
aks bhi aashna nahin hota
kuchh to dil se kaha hai aankhon ne
zakhm-e-dil kya haraa nahin hota
phir use hi talash karta hoon
jis ka koi pata nahin hota
jo bhi apni zabaan se deta vo
zaa'ika bad-maza nahin hota
कोई पहरा लगा नहीं होता
मैं ही फिर भी रहा नहीं होता
ख़ून दिल का हुआ तो ये जाना
नक़्श क्यूँ देर-पा नहीं होता
वक़्त क्यूँ है ग़ुबार आँखों में
अक्स भी आश्ना नहीं होता
कुछ तो दिल से कहा है आँखों ने
ज़ख़्म-ए-दिल क्या हरा नहीं होता
फिर उसे ही तलाश करता हूँ
जिस का कोई पता नहीं होता
जो भी अपनी ज़बाँ से देता वो
ज़ाइक़ा बद-मज़ा नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafat Shameem
our suggestion based on Rafat Shameem
As you were reading Khoon Shayari Shayari