sawaari oont ki hai | सवारी ऊँट की है

  - Rafiq Sandelvi

sawaari oont ki hai
aur main shahr-e-shikasta ki
kisi sunsaan gali mein sar jhukaaye
haath mein bad-rang chamde ki maharein thaam kar
us ghar ki jaanib ja raha hoon
jis ki chaukhat par
hazaaron saal se
ik gham-zada aurat
mere vaade ki rassi
resha-e-dil se buni
mazboot rassi se bandhi hai
aansuon se tar nigaahon mein
kisi kohna sitaare ki chamak le kar
mere khaakistari malboos ki
makhsoos khushboo soonghne ko
aur bhoore nat ki
dukh se labaalab bilbilaahat
sunne ko taiyyaar baithi hai

wahi seelan-zada ootaq ka gosha
jahaan main ek shab us ko
larzate sansanaate zahar waale
chobi teeron ki ghani baarish mein
be-bas aur akela chhod aaya tha
mujhe sab yaad hai qissa
baras kar abr bilkul tham chuka tha
aur khala mein chaand
yun lagta tha jaise
takht par nau-umr shehzaada ho koi
yun hawa chehre ko mas kar ke guzarti thi
ki jaise reshami kapda ho koi
apne thande aur geelay khol ke andar
gali soi hui thi
dam-b-khud saare makaan
aise nazar aate the
jaise narm aur baarik kaaghaz ke bane hon
mom ke tarshe hue hon
ik badi tasveer mein
jaise azal se eistaada hon

wahi seelan-zada ootaq ka gosha
jahaan mahtaab ki burraaq kirnen
us ke lambe aur khule baalon mein adase
taaza-tar injeer ke patte raushan kar rahi theen
us ki gahri gandumee kuhni ka bosa yaad hai mujh ko
nahin bhoola abhi tak
saara qissa yaad hai mujh ko
usi shab
main ne jab ik lamha-e-pur-soz mein
talwaar us ke paanv mein rakh di thi
aur phir ye kaha tha
mera w'ada hai
ye mera jism aur is jism ki haakim
ye meri baatini taqat
qayamat aur
qayamat se bhi aage
sarhad-e-imkaan se la-imkaan talak
teri wafa ka saath degi
waqt sunta hai
gawaahi ke liye
aakaash par ye chaand
qadmon mein padi ye teg
aur baalon mein ye injeer ka patta hi kaafi hai

khudaavanda vo kaisa marhala tha
ab ye kaisa marhala hai
ek sunsaani ka aalam hai
gali chup hai
kisi zee-rooh ki aahat nahin aati
ye kaisi saat-e-manhoos hai
jis mein abhi tak
koi nanha sa parinda ya patinga
ya koi mauhoom chyoonti hi nahin guzri
kisi bhi mard o zan ki
main ne soorat hi nahin dekhi
sawaari oont ki hai
aur main shahr-e-shikasta ki
kisi sunsaan gali mein sar jhukaaye
haath mein bad-rang chamde ki maharein thaam kar
us ghar ki jaanib ja raha hoon
ya kisi mahshar
khamoshi ke kisi mahshar ki jaanib ja raha hoon
hichkiyon aur siskiyon ke b'ad ka mahshar
koi manzar
koi manzar ki jis mein ik gali hai
ek bhura oont hai
aur ek buzdil shakhs ki dheeli rifaqat hai
safar na-mukhtatam
jaise abad tak ki koi lambi masafat hai

sawaari oont ki
ya kaath ke aasaab ki hai
aazmaish ik anokhe khwaab ki hai
putliyaan saakit hain
saaya oont ka hilta nahin
aaina-e-aasaar mein
saari shabeehein gum hui hain
us ke hone ka nishaan milta nahin
kab se gali mein hoon
kahaan hai vo meri pyaari
meri seelan-zada ootaq waali
vo sureeli ghantiyon waali
zameenon paaniyon aur anfus o aafaq waali
kis qadar aankhon ne koshish ki
magar rona nahin aata
sabab kya hai
gali ka aakhiri kona nahin aata
gali ko hukm ho ab khatm ho jaaye
main bhoore aur boodhe oont par baithe hue
peeri ke din ginata hoon
shaayad is gali mein rahne waala
koi us ke ahad ka zanboor hi guzre
main us ki baargah mein
dast-basta maazrat ki bheek maanguun
sar nadaamat se jhukaaun
aur us zanboor ke sadqe
kisi din apne boodhe jism ko
aur oont ko le kar
gali ki aakhiri had paar kar jaaun

सवारी ऊँट की है
और मैं शहर-ए-शिकस्ता की
किसी सुनसाँ गली में सर झुकाए
हाथ में बद-रंग चमड़े की महारें थाम कर
उस घर की जानिब जा रहा हूँ
जिस की चौखट पर
हज़ारों साल से
इक ग़म-ज़दा औरत
मिरे वादे की रस्सी
रेशा-ए-दिल से बुनी
मज़बूत रस्सी से बंधी है
आँसुओं से तर निगाहों में
किसी कोहना सितारे की चमक ले कर
मिरे ख़ाकिस्तरी मल्बूस की
मख़्सूस ख़ुश्बू सूँघने को
और भूरे नट की
दुख से लबालब बिलबिलाहट
सुनने को तय्यार बैठी है!

वही सीलन-ज़दा ऊताक़ का गोशा
जहाँ मैं एक शब उस को
लरज़ते सनसनाते ज़हर वाले
चोबी तीरों की घनी बारिश में
बे-बस और अकेला छोड़ आया था
मुझे सब याद है क़िस्सा
बरस कर अब्र बिल्कुल थम चुका था
और ख़ला में चाँद
यूँ लगता था जैसे
तख़्त पर नौ-उम्र शहज़ादा हो कोई
यूँ हवा चेहरे को मस कर के गुज़रती थी
कि जैसे रेशमीं कपड़ा हो कोई
अपने ठंडे और गीले ख़ोल के अंदर
गली सोई हुई थी
दम-ब-ख़ुद सारे मकाँ
ऐसे नज़र आते थे
जैसे नर्म और बारीक काग़ज़ के बने हों
मोम के तर्शे हुए हों
इक बड़ी तस्वीर में
जैसे अज़ल से ईस्तादा हों!

वही सीलन-ज़दा ऊताक़ का गोशा
जहाँ महताब की बुर्राक़ किरनें
उस के लांम्बे और खुले बालों में अड़से
ताज़ा-तर इंजीर के पत्ते रौशन कर रही थीं
उस की गहरी गंदुमीं कुहनी का बोसा याद है मुझ को
नहीं भूला अभी तक
सारा क़िस्सा याद है मुझ को
उसी शब
मैं ने जब इक लम्हा-ए-पुर-सोज़ में
तलवार उस के पाँव में रख दी थी
और फिर ये कहा था:
''मेरा व'अदा है
ये मेरा जिस्म और इस जिस्म की हाकिम
ये मेरी बातिनी ताक़त
क़यामत और
क़यामत से भी आगे
सरहद-ए-इम्काँ से ला-इम्कां तलक
तेरी वफ़ा का साथ देगी
वक़्त सुनता है
गवाही के लिए
आकाश पर ये चाँद
क़दमों में पड़ी ये तेग़
और बालों में ये इंजीर का पत्ता ही काफ़ी है!''

ख़ुदावंदा वो कैसा मरहला था!
अब ये कैसा मरहला है!
एक सुनसानी का आलम है
गली चुप है
किसी ज़ी-रूह की आहट नहीं आती
ये कैसी साअत-ए-मनहूस है
जिस में अभी तक
कोई नन्हा सा परिंदा या पतिंगा
या कोई मौहूम च्यूँटी ही नहीं गुज़री
किसी भी मर्द ओ ज़न की
मैं ने सूरत ही नहीं देखी
सवारी ऊँट की है
और मैं शहर-ए-शिकस्ता की
किसी सुनसाँ गली में सर झुकाए
हाथ में बद-रंग चमड़े की महारें थाम कर
उस घर की जानिब जा रहा हूँ
या किसी महशर
ख़मोशी के किसी महशर की जानिब जा रहा हूँ
हिचकियों और सिसकियों के ब'अद का महशर
कोई मंज़र
कोई मंज़र कि जिस में इक गली है
एक भूरा ऊँट है
और एक बुज़दिल शख़्स की ढीली रिफ़ाक़त है
सफ़र ना-मुख़्ततम
जैसे अबद तक की कोई लम्बी मसाफ़त है!

सवारी ऊँट की
या काठ के आसाब की है
आज़माइश इक अनोखे ख़्वाब की है
पुतलियाँ साकित हैं
साया ऊँट का हिलता नहीं
आईना-ए-आसार में
सारी शबीहें गुम हुई हैं
उस के होने का निशाँ मिलता नहीं
कब से गली में हूँ
कहाँ है वो मिरी प्यारी
मिरी सीलन-ज़दा ऊताक़ वाली
वो सुरीली घंटियों वाली
ज़मीनों पानियों और अन्फ़ुस ओ आफ़ाक़ वाली
किस क़दर आँखों ने कोशिश की
मगर रोना नहीं आता
सबब क्या है
गली का आख़िरी कोना नहीं आता
गली को हुक्म हो अब ख़त्म हो जाए
मैं भूरे और बूढ़े ऊँट पर बैठे हुए
पीरी के दिन गिनता हूँ
शायद इस गली में रहने वाला
कोई उस के अहद का ज़ंबूर ही गुज़रे
मैं उस की बारगह में
दस्त-बस्ता माज़रत की भीक माँगूँ
सर नदामत से झुकाऊं
और उस ज़ंबूर के सदक़े
किसी दिन अपने बूढ़े जिस्म को
और ऊँट को ले कर
गली की आख़िरी हद पार कर जाऊँ!!

  - Rafiq Sandelvi

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Sandelvi

As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Sandelvi

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari