khema-e-khwaab ki tanaabein khol
qaafila ja chuka hai aankhen khol
ai zameen mera khair-maqdam kar
tera beta hoon apni baanhe khol
doob jaayen na phool ki nabzein
ai khuda mausamon ki saansen khol
faash kar bhed do-jahaanon ke
mujh pe sar-basta kaainaatein khol
pad na jaaye nagar mein rasm-e-sukoot
qufl-e-lab tod de zabaanen khol
ख़ेमा-ए-ख़्वाब की तनाबें खोल
क़ाफ़िला जा चुका है आँखें खोल
ऐ ज़मीं मेरा ख़ैर-मक़्दम कर
तेरा बेटा हूँ अपनी बाँहें खोल
डूब जाएँ न फूल की नब्ज़ें
ऐ ख़ुदा मौसमों की साँसें खोल
फ़ाश कर भेद दो-जहानों के
मुझ पे सर-बस्ता काएनातें खोल
पड़ न जाए नगर में रस्म-ए-सुकूत
क़ुफ़्ल-ए-लब तोड़ दे ज़बानें खोल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi
our suggestion based on Rafiq Sandelvi
As you were reading Rose Shayari Shayari