khata hone lage the raad se ausaan mere | ख़ता होने लगे थे राद से औसान मेरे

  - Rafiq Sandelvi

khata hone lage the raad se ausaan mere
ajab shor-e-qayaamat mein ghire the kaan mere

fazaa mein ek lahzhe ke liye jab barq chamki
andheri raat se tay ho gaye paimaan mere

lahu jamne ke nuqte par jo pahuncha to achaanak
ult dale hawa ne mujh pe aatish-daan mere

main mitti aag aur paani ki soorat muntashir tha
phir ik din sab anaasir ho gaye yak-jaan mere

ख़ता होने लगे थे राद से औसान मेरे
अजब शोर-ए-क़यामत में घिरे थे कान मेरे

फ़ज़ा में एक लहज़े के लिए जब बर्क़ चमकी
अँधेरी रात से तय हो गए पैमान मेरे

लहू जमने के नुक़्ते पर जो पहुँचा तो अचानक
उलट डाले हवा ने मुझ पे आतिश-दान मेरे

मैं मिट्टी आग और पानी की सूरत मुंतशिर था
फिर इक दिन सब अनासिर हो गए यक-जान मेरे

  - Rafiq Sandelvi

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Sandelvi

As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Sandelvi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari