neend ke aab-e-ravaan ko maat dene aaunga | नींद के आब-ए-रवाँ को मात देने आऊँगा

  - Rafiq Sandelvi

neend ke aab-e-ravaan ko maat dene aaunga
ai shab-e-na-khwaab tera saath dene aaunga

jab sitaare nuqta-e-anfaas par bujh jaayenge
main khuda ko jaan bhi us raat dene aaunga

noor ki maujen mere hamraah hongi aur main
raat ke haathon mein apna haath dene aaunga

aasmaan ke neele gumbad se nikal kar ek din
main zameen ko qurmuzi khairaat dene aaunga

band ho jaayenge jab saare dariche kashf ke
us ghadi mein chand imkaanaat dene aaunga

नींद के आब-ए-रवाँ को मात देने आऊँगा
ऐ शब-ए-ना-ख़्वाब तेरा साथ देने आऊँगा

जब सितारे नुक़्ता-ए-अनफ़ास पर बुझ जाएँगे
मैं ख़ुदा को जान भी उस रात देने आऊँगा

नूर की मौजें मिरे हमराह होंगी और मैं
रात के हाथों में अपना हाथ देने आऊँगा

आसमाँ के नीले गुम्बद से निकल कर एक दिन
मैं ज़मीं को क़ुर्मुज़ी ख़ैरात देने आऊँगा

बंद हो जाएँगे जब सारे दरीचे कश्फ़ के
उस घड़ी में चंद इम्कानात देने आऊँगा

  - Rafiq Sandelvi

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Sandelvi

As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Sandelvi

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari