mitati hui tahzeeb se nafrat na kiya kar
chaupaal pe boodhon ki kahaani bhi suna kar
maaloom hua hai ye parindon ki zabaani
tham jaayega toofaan darakhton ko gira kar
peetal ke katore bhi nahin apne gharo mein
khairaat mein chaandi ka taqaza na kiya kar
mumkin hai garebaanon mein khanjar bhi chhupe hon
tu shahr-e-amaan mein bhi na be-khauf fira kar
maange hue suraj se to behtar hai andhera
tu mere liye apne khuda se na dua kar
tahreer ka ye aakhiri rishta bhi gaya toot
tanhaa hoon main kitna tire maktub jala kar
aati hain agar raat ko rone ki sadaaein
ham-saaye ka ahvaal kabhi pooch liya kar
vo qaht-e-ziya hai ki mere shehar ke kuchh log
jugnoo ko liye firte hain mutthi mein daba kar
मिटती हुई तहज़ीब से नफ़रत न किया कर
चौपाल पे बूढ़ों की कहानी भी सुना कर
मालूम हुआ है ये परिंदों की ज़बानी
थम जाएगा तूफ़ान दरख़्तों को गिरा कर
पीतल के कटोरे भी नहीं अपने घरों में
ख़ैरात में चाँदी का तक़ाज़ा न किया कर
मुमकिन है गरेबानों में ख़ंजर भी छुपे हों
तू शहर-ए-अमाँ में भी न बे-ख़ौफ़ फिरा कर
माँगे हुए सूरज से तो बेहतर है अंधेरा
तू मेरे लिए अपने ख़ुदा से न दुआ कर
तहरीर का ये आख़िरी रिश्ता भी गया टूट
तन्हा हूँ मैं कितना तिरे मक्तूब जला कर
आती हैं अगर रात को रोने की सदाएँ
हम-साए का अहवाल कभी पूछ लिया कर
वो क़हत-ए-ज़िया है कि मिरे शहर के कुछ लोग
जुगनू को लिए फिरते हैं मुट्ठी में दबा कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi
our suggestion based on Rafiq Sandelvi
As you were reading Dushmani Shayari Shayari