ana ko khud par sawaar main ne nahin kiya tha | अना को ख़ुद पर सवार मैं ने नहीं किया था

  - Rafiq Sandelvi

ana ko khud par sawaar main ne nahin kiya tha
tumhaare peeche se vaar main ne nahin kiya tha

vo khud gira tha lahu-faroshi ki pastiyon mein
use naheef o nazar main ne nahin kiya tha

pake hue fal hi tode the main ne tehniyon se
shajar ko be-barg-o-baar main ne nahin kiya tha

nishaana baandha tha aashiyanoon ki samt lekin
koi parinda shikaar main ne nahin kiya tha

kuchh is qadar the hawas gum-sum ki waqt-e-hijrat
bilakte bacchon ko pyaar main ne nahin kiya tha

mere masaail to khud-b-khud hi suljh gaye the
kahi bhi soch-o-bichaar main ne nahin kiya tha

अना को ख़ुद पर सवार मैं ने नहीं किया था
तुम्हारे पीछे से वार मैं ने नहीं किया था

वो ख़ुद गिरा था लहू-फ़रोशी की पस्तियों में
उसे नहीफ़ ओ नज़ार मैं ने नहीं किया था

पके हुए फल ही तोड़े थे मैं ने टहनियों से
शजर को बे-बर्ग-ओ-बार मैं ने नहीं किया था

निशाना बाँधा था आशियानों की सम्त लेकिन
कोई परिंदा शिकार मैं ने नहीं किया था

कुछ इस क़दर थे हवास गुम-सुम कि वक़्त-ए-हिजरत
बिलकते बच्चों को प्यार मैं ने नहीं किया था

मिरे मसाइल तो ख़ुद-ब-ख़ुद ही सुलझ गए थे
कहीं भी सोच-ओ-बिचार मैं ने नहीं किया था

  - Rafiq Sandelvi

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Sandelvi

As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Sandelvi

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari