ajab ik saaya-e-laahoot mein tahleel hogi | अजब इक साया-ए-लाहूत में तहलील होगी

  - Rafiq Sandelvi

ajab ik saaya-e-laahoot mein tahleel hogi
fusoon-e-hashr se haiat meri tabdeel hogi

kiye jaayenge mere jism mein noori izaafe
kisi raushan sitaare par meri takmeel hogi

diya jaayega ghusl-e-avvaleen mere badan ko
tilismi-baagh hoga us ke andar jheel hogi

kabhi pahunchega hiss-e-saameaa tak harf-e-khufta
kabhi aawaaz-e-na-maaloom ki tarseel hogi

kabhi uqde khulenge is asaateeri zameen ke
kabhi is daastaan-e-kuhna ki taawil hogi

अजब इक साया-ए-लाहूत में तहलील होगी
फ़ुसून-ए-हश्र से हैअत मिरी तब्दील होगी

किए जाएँगे मेरे जिस्म में नूरी इज़ाफ़े
किसी रौशन सितारे पर मिरी तकमील होगी

दिया जाएगा ग़ुस्ल-ए-अव्वलीं मेरे बदन को
तिलिस्मी-बाग़ होगा उस के अंदर झील होगी

कभी पहुँचेगा हिस्स-ए-सामेआ तक हर्फ़-ए-ख़ुफ़्ता
कभी आवाज़-ए-ना-मालूम की तर्सील होगी

कभी उक़्दे खुलेंगे इस असातीरी ज़मीं के
कभी इस दास्तान-ए-कुहना की तावील होगी

  - Rafiq Sandelvi

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Sandelvi

As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Sandelvi

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari