kuchh roz main is khaak ke parde mein rahoonga
phir door kisi noor ke haale mein rahoonga
rakkhoonga kabhi dhoop ki choti pe rihaaish
paani ki tarah abr ke tukde mein rahoonga
ye shab bhi guzar jaayegi taaron se bichhad kar
ye shab bhi main kohsaar ke darre mein rahoonga
suraj ki tarah maut mere sar pe rahegi
main shaam talak jaan ke khatre mein rahoonga
ubharegi mere zehan ke khaliyon se nayi shakl
kab tak main kisi barf ke malbe mein rahoonga
कुछ रोज़ मैं इस ख़ाक के पर्दे में रहूँगा
फिर दूर किसी नूर के हाले में रहूँगा
रक्खूँगा कभी धूप की चोटी पे रिहाइश
पानी की तरह अब्र के टुकड़े में रहूँगा
ये शब भी गुज़र जाएगी तारों से बिछड़ कर
ये शब भी मैं कोहसार के दर्रे में रहूँगा
सूरज की तरह मौत मिरे सर पे रहेगी
मैं शाम तलक जान के ख़तरे में रहूँगा
उभरेगी मिरे ज़ेहन के ख़लियों से नई शक्ल
कब तक मैं किसी बर्फ़ के मलबे में रहूँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi
our suggestion based on Rafiq Sandelvi
As you were reading Dhoop Shayari Shayari