sehar tak us pahaadi ke aqab mein ro ke aata hoon | सहर तक उस पहाड़ी के अक़ब में रो के आता हूँ

  - Rafiq Sandelvi

sehar tak us pahaadi ke aqab mein ro ke aata hoon
main nuqta-ha-e-girya par ikattha ho ke aata hoon

udhar raaste mein chauthe kos par taalaab padta hai
main khaak aur khoon se luthri rikaaben dho ke aata hoon

yahan ik dasht mein fir'aun ka ahraam banta hai
main apni pusht par chaukoor patthar dho ke aata hoon

abhi kuchh baazyaabi ka amal maakus lagta hai
main jab bhi dhoondhne jaata hoon khud ko kho ke aata hoon

jahaan parchhaaien tak padti nahin hai khaak-zaadon ki
usi khaali kure par saath mausam so ke aata hoon

सहर तक उस पहाड़ी के अक़ब में रो के आता हूँ
मैं नुक़्ता-हा-ए-गिर्या पर इकट्ठा हो के आता हूँ

उधर रस्ते में चौथे कोस पर तालाब पड़ता है
मैं ख़ाक और ख़ून से लुथड़ी रिकाबें धो के आता हूँ

यहाँ इक दश्त में फ़िरऔन का अहराम बनता है
मैं अपनी पुश्त पर चौकोर पत्थर ढो के आता हूँ

अभी कुछ बाज़याबी का अमल माकूस लगता है
मैं जब भी ढूँडने जाता हूँ ख़ुद को खो के आता हूँ

जहाँ परछाईं तक पड़ती नहीं है ख़ाक-ज़ादों की
उसी ख़ाली कुरे पर सात मौसम सो के आता हूँ

  - Rafiq Sandelvi

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafiq Sandelvi

As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi

Similar Writers

our suggestion based on Rafiq Sandelvi

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari