kabhi zakhmi karoon paanv kabhi sar phod kar dekhoon
main apna rukh kisi jungle ki jaanib mod kar dekhoon
samaadhi hi laga luun ab kahi veeraan qabron par
ye duniya tark kar doon aur sab kuchh chhod kar dekhoon
mujhe ghere mein le rakha hai ashiyaa o mazaahir ne
kabhi mauqa mile to is karde ko tod kar dekhoon
uda doon sabz patton mein chhupi khwaahish ki sab chidiyaan
kabhi dil ke shajar ko zor se jhinjhod kar dekhoon
adam-e-takmeel ke dukh se bacha luun apni sochon ko
jahaan se silsila toote wahin se jod kar dekhoon
कभी ज़ख़्मी करूँ पाँव कभी सर फोड़ कर देखूँ
मैं अपना रुख़ किसी जंगल की जानिब मोड़ कर देखूँ
समाधी ही लगा लूँ अब कहीं वीरान क़ब्रों पर
ये दुनिया तर्क कर दूँ और सब कुछ छोड़ कर देखूँ
मुझे घेरे में ले रक्खा है अशिया ओ मज़ाहिर ने
कभी मौक़ा मिले तो इस कड़े को तोड़ कर देखूँ
उड़ा दूँ सब्ज़ पत्तों में छुपी ख़्वाहिश की सब चिड़ियाँ
कभी दिल के शजर को ज़ोर से झिंझोड़ कर देखूँ
अदम-ए-तकमील के दुख से बचा लूँ अपनी सोचों को
जहाँ से सिलसिला टूटे वहीं से जोड़ कर देखूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafiq Sandelvi
our suggestion based on Rafiq Sandelvi
As you were reading Nature Shayari Shayari